Kunba Nabi Ka Qaid Tha Bazar-e-Sham Tha Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1996
Kunba Nabi Ka Qaid Tha Bazar-e-Sham Tha Hasan Sadiq.
Zainab Thi Sar Barehna Tu Qaidi Imam Tha.
Beti Ali Ki Sar Khulay Darbar-e-Aam Mein.
Abbas Ke Liye Yeh Haya Ka Maqam Tha.
Zanjeer-o-Tauq Beriyaan Pehne Hoye Chala.
Sajjad Ke Naseeb Mein Kya Sakht Kam Tha.
Aaya Dar-e-Hussain Pe Qismat Badal Gayi.
Hur Thori Dair Baad Alh Aslam Tha.
Tatheer Syeda Ki Rida Ka Jo Naam Hai.
Zainab Teri Rida Ka Tu Abbas Naam Tha.
Abbas Jaisa Bhai Nahi Do Jahan Mein.
Jo Bhai Tha Hussain Ka Lekin Ghulam Tha.
Yeh Aaj Jo Sabeelein Lagin Hain Jagah Jagah.
Yeh Bargah Oss Ki Hai Jo Tashna Kam Tha.
Noha Nahi Tha Woh Tu Aqeedat Ke Phool They.
:REHAN AZMI: Ke Qalam Ka Salam Tha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1996-97:
#KunbaNabiKaQaidTha
#NohayLyrics
#tajpoint