Surat-e-Shair-e-Khuda Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 1996
Surat-e-Shair-e-Khuda Hasan Sadiq.
Sorat-e-Shair-e-Khuda Jah-o-Chashm Kis Ka Hai.
Lab-e-Darya Zara Dekho Yeh Alam Kis Ka Hai.
Alqama Mit Nahi Sakta Tere Seene Se Kabhi.
Tujh Ko Maloom Nahi Naqsh-e-Qadam Kis Ka Hai.
Likh Raha Hai Jo Qalam Ho Ke Wafaon Ki Kitab.
Karbala Dekh Tu Yeh Hath Qalam Kis Ka Hai.
Jab Khulay Baab-e-Hawaij Ke Mani Mujh Par.
Tab Main Samjha Hoon Keh Mujh Par Yeh Karam Kis Ka Hai.
Koi Bhi Jhoti Qasam Jis Ki Nahi Kha Sakta.
Mere Ghazi Ke Elawah Yeh Bharam Kis Ka Hai.
Nehar Par Lasha-e-Abbas Tarapta Kyun Hai.
Naam Honton Pe Sakina Lab-e-Dam Kis Ka Hai.
Woh Farishtay Hoon Keh Insan Sabhi Shamil Hain.
Aisa Dunya Mein Batao Zara Gham Kis Ka Hai.
Noha Ghazi Ka Hai Aawaz :HASAN SADIQ: Ki.
Our :REHAN: Ke Hathoon Mein Qalam Kis Ka Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1996-97:
#SurateShaireKhuda
#NohayLyrics
#tajpoint