Akbar Tu Kahan Hai Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 1996
Akbar Tu Kahan Hai Hasan Sadiq Lyrics
Kehti Hai Sahar Gham Ki Akbar Tu Kahan Hai.
Sajday Bhi Hain Afsurda Betab Azaan Hai.
Shadi Ka Teri Waqt Hai Ya Waqt-e-Shahadat.
Sehra Hai Duaon Ka Our Maa Ki Zabaan Hai.
Lariyaan Tere Sehrey Ki Chomein Tere Seene Ko.
Afsoos Magar Tere Seene Mein Sina Hai.
Islam Ke Daman Mein Our Iss Ke Siwa Kya Hai.
Ik Sajdah Hai Ik Zarbat Our Aik Azaan Hai.
Hai Pyas Ke Aalam Mein Akbar Ko Ajal Aayi.
Our Samne Aankhon Ke Darya Bhi Rawaan Hai.
Jate Hain Ali Akbar Marne Ke Liye Ran Mein.
Zainab Ke Liye Kitna Pur Dard Samaa Hai.
:REHAN: Yeh Kehti Thi Madar Ali Akbar Ki.
Kya Dar Hai Laeeno Ka Mera Lal Jawaan Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1996-97:
#AkbarTuKahanHai
#NohayLyrics
#tajpoint