ٹ کریں -->

Madh e Abbas Alamdar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2023

Madh e Abbas Alamdar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2023

Madh e Abbas Alamdar Syed Mudassir Mehdi.

Madh-e-Abbas Jo Karne Ko Sana Gar Aaye.
Dad Deney Ke Liye Saqi-e-Kausar Aaye.

Chaar Shaban Ke Din Farsh Bana Arsh-e-Barin.
Khud Qamar Ban Ke Hain Abbas-e-Dilawar Aaye.

-->

Chor Kar Arsh Malak Jis Ka Jholaein Jhola.
Shah Woh Jhola Jholaney Tera Aksar Aaye.

Ik Yad-e-Baiza Hai Our Aik Assa Hai Unn Ka.
Mojzay Lainay Do Mosa Ik Alam Par Aaye.

Hukam Abbas-e-Dilawar Ka Agar Ho Jaye.
Chal Ke Khud Nehar Abhi Mashk Ke Andar Aaye.

Keh Do Jibreel Se Hai Ghaiz Mein Abbas-e-Ali.
Aaj Dam Nad-e-Ali Kar Ke Paron Par Aaye.

Man-o-Salwa Tu Koi Maida Bhola Howa Tha.
Jab Nabi Hazari Abbas Ki Chakh Kar Aaye.

Khuld Se Chutna Bhi Aadam Ka Humein Yaad Aaya.
Jab Qadam Roza-e-Abbas Se Bahir Aaye.

:FAZAL: Abbas Ke Parcham Ko Main Jab Jab Chomo.
Khud Dua Deney Nabi Ki Mujhe Dukhtar Aaye.

Poet: :Syed Fazal Abbas Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Manqabat Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2022-23:
Composition: :Zuhair Hussain:

#MadheAbbasAlamdar
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Madh e Abbas Alamdar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2023 Write Up Poster Image

Madh e Abbas Alamdar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2023

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!