Ae Kash Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Ae Kash Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

اے کاش ظہورِ مولا امام العصرؑ

Jis Dam Zahoor-e-Qayam e Aali Maqam Ho.
Aye Kash Nokaron Mein Hamara Bhi Naam Ho.
Aye Kash Rab Dikhaye Woh Manzar Kamal Ka.
Kabay Pe Jab Nazool Ho Zahra Ke Lal Ka.
Jab Aks Jalwa Bar Ho Rab Ke Jamal Ka.
Main Bhi Woh Noor Dekhon Rukh-e-Zuljalal Ka.
Qadmo Mein Sar Jhuka Ke Kahon Ya Ali Madad.
Maula Jawab Dein Mujhe Maula Ali Madad.
Aye Kash Aisa Ho Keh Jab Aaein Merey Imam.
Shamil Ho Khadmein Mein Mera Bhi Aik Naam.
Ho Sakta Hai Na Zindah Ho Tab Unn Ka Yeh Ghulam.
Par Malik-e-Hayat Karein Aisa Ahtamam.
Kabay Ki Chat Pe Aa Ke Lagaein Sada Imam.
Turbat Se Uthoon Keh Ke Main Labaik Ya Imam.
Jis Dam Attaye Noor Ho Jari Imam Ki.
Utray Zameen Par Jo Amari Imam Ki.
Jab Le Balaein Khaliq-e-Bari Imam Ki.
Our Samne Merey Ho Sawari Imam Ki.
Hasil Jo Anbiya Ko Ho Main Woh Maqam Loon.
Barh Kar Main Murtajiz Ki Rakabon Ko Tham Loon.
Noor-e-Khuda Ka Jalwa Jo Kuch Dekh Paon Main.
Mansab Malaika Se Bhi Barh Kar Yeh Paon Main.
Rahoon Mein Zuljinah Ki Aankhein Bichaon Main.
Hathoon Se Zuljinah Ko Charah Khilaon Main.
Itna Rahon Boland Keh Qausain Chom Loon.
Aye Kash Main Imam Ki Nalain Chom Loon.
Aye Kash Jab Imam-e-Zamana Ka Ho Zahoor.
Aye Kash Jab Zameen Pe Chamkay Khuda Ka Noor.
Aye Kash Jab Aroj Pe Ho Haidery Garor.
Aye Kash Jalwa Bar Ho Jis Dam Shua-e-Toor.
Ho Ru Baro Jo Chehra Shah e Mashraqain Ka.
Pursa Main Doon Namaz Se Pehle Hussain Ka.
Kabay Ke Samne Lagay Jab Halqa-e-Azza.
Jab Hoga Nasab Parcham-e-Abbas-e-Bawafa.
Halqay Mein Saf Ba Saf Nazar Aaein Gay Anbiya.
Dawood Parhne Aaein Gay Noha Hussain Ka.
Misal-e-Sitara Shal-e-Azza Mein Jara Rahon.
Dawood Ki Beyaz Pakar Kar Khara Rahon.
Phir Oss Ke Baad Jaye Jahan Lashkar-e-Imam.
Shamil Ho Oss Sipah Mein Aye Kash Yeh Ghulam.
Ho Jaye Aik Pal Mein Yeh Hasrat Meri Tamam.
Aa Jaye Yeh Wajood Mera Unn Ke Kuch Tu Kam.
Jaye Woh Jahan Sahib-e-Saqlain Ki Tarha.
Lipta Rahon Main Pairon Se Nalain Ki Tarha.
Kabay Se Jab Ho Karb-o-Bala Ki Taraf Safar.
Yani Dua Ka Apni Atta Ki Taraf Safar.
Farsh-e-Zameen Se Arsh-e-Ola Ki Taraf Safar.
Yani Khuda Ke Ghar Se Khuda Ki Taraf Safar.
Mujh Ko Bhi Kar Ke Shamil-e-Halaat Le Chalein.
Kaba Sadaein De Ga Mujhe Sath Le Chalein.
Zahir Karein Gay Khuwab Bhi Tabeer Ke Nishan.
Karb-o-Bala Mein Khuld Ki Jageer Ke Nishan.
Quran Khud Dikhaye Ga Tafseer Ke Nishan.
Maula Ko Main Dikhaon Ga Zanjeer Ke Nishan.
Iss Intezar e Ishq Mein Rahi Hoon Aap Ka.
Maula Main Aik Adna Sipahi Hoon Aap Ka.
:RIZWAN: Our :NOOR ALI: Hai Yeh Aarzu.
Aamad Ka Shoor Jab Ho Madine Mein Chaar So.
Zahra Ki Shan Parhta Ho Har Aik Khush Gulu.
Tameer-e-Qabar-e-Zahra Ki Jab Hogi Justaju.
Aye Kash Mujh Ko Noor Ke Parey Mein Gondh Dein.
Mera Wajood Bhi Ossi Garey Mein Gondh Dein.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Zaidi 2022-23:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#AeKash
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!