Ya Abbas Ya Abbas Mir Qasim Mir Lyrics Urdu 2025
Ya Abbas Ya Abbas Mir Qasim Mir Lyrics
Aye Shair-e-Nayastan-e-Haider Abbas.
Meri Bigri Bana Dena.
Meri Baat Bana Dena.
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abalfazl Al-Abbas.
Ahl-e-Azza Ka Tum Ho Bharosa Totay Dilon Ki Aas.
Jo Manga Hai Tum Se Manga Tum Hi Detey Ho Ghazi.
Dunya Samjhay Ya Na Samjhay Tum Tu Samajhtay Ho Ghazi.
Koi Nahi Hai Mujh Ko Yaqeen Hai.
Tum Jaisa Hasas, Ya Abbas.
Bhai Ke Chehray Se Pareshani Ko Tu Ne Door Kiya.
Ahl-e-Mawaddat Ko Mushkil Ke Hal Ka Yeh Dastoor Diya.
Kashif Al Karbe Ikshif Karbi.
Aik Wazeefa Khas, Ya Abbas.
Ya Syedi Ya Abbas.
Ya Abalfazl Al-Abbas.
Be Saharon Ke Liye Tu Hai Sahara Abbas.
Tu Hai Mazlomo Ki Qismat Ka Sitara Abbas.
Sari Dunya Mein Kahin Jab Bhi Koi Zulm Howa.
Tujh Ko Masoomo Ne Ro Ro Ke Pukara Abbas.
Hoti Hai Jab Chashm-e-Inayat Dil Ki Kali Phir Khilti Hai.
Rozi Roti Izzat Azmat Aap Ke Dar Se Milti Hai.
Sani-e-Haider Likh Do Muqadar.
Le Ke Qalam Qirtas, Ya Abbas.
Lashkar-e-Aada Ki Zad Par Phir Shehzadi Ka Roza Hai.
Jan Se Jo Pyari Hai Tumhein Phir Se Woh Sakina Tanha Hai.
Mehdi e Dein Ko Izn Atta Ho.
Mazlomo Ki Aas, Ya Abbas.
Gham Gusaron Ko Aziyat Se Bachaney Walay.
Be Khata Sare Aseeron Ko Churanay Walay.
Har Azadar-e-Hussain Ibn-e-Ali Par Ho Karam.
Aye Katay Hathoon Se Taqdeer Bananey Walay, Ya Abbas.
Majlis Matam Karne Walay Apni Muradein Laye Hain.
Hathoon Ko Phailaye Hoye Youn Dar Pe Tumhare Aaye Hain.
Jis Ko Khuda Se Manga Ali Ne Tum Ho Woh Almas Ya Abbas.
Rehtey Hain Masoom Jahan Par Hum Bhi Wahan Par Jaein Gay.
Kab Se Hain Pardais Mein Maula Laut Ke Kab Ghar Jaein Gay.
Shair Dilawar Saqi-e-Kausar Dil Ki Bhuja Do Pyas Ya Abbas.
Fakhar Se Dekhtey Hain Shah-e-Madina Ghazi.
Aap Dono Ki Muhabbat Ka Qareena Ghazi.
Tere Parcham Se Bandhi Mashk Ko Dekha Tu Laga.
Tujh Se Lipati Hai Teri Pyasi Sakina Ghazi, Ya Abbas.
Pyasay Bachay Tum Se Hi Umeed Lagaye Baithay They.
Maula Ko Jab Aate Dekha Thamay Alam Ke Kuch Tukray.
Tashna Labon Ki Masoomo Ki Toot Gayi Thi Aas, Ya Abbas.
Gayarah Muharram Ko Maqtal Se Bint-e-Ali Jab Guzrein Thin.
Bazu Bureda Dekh Ke Tere Aahein Bhar Kar Kehti Thin.
Uth Gaya Bhaiyya Baap Ka Saya Aaj Howa Ahsas, Haye Abbas.
Aap Ka Parcham Nasab Howa Hai Jis Jis Bhi Ghar Par Ghazi.
:MIR TAKALLUM: Ki Hai Dua Aabad Rahe Woh Ghar Ghazi.
Apne Alam Ka Saya Rakhna Haider Ke Akas, Ya Abbas.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Qasim Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2025-26:
Soz: :Mir Sajjad Mir:
#YaAbbas
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Ya Abbas Ya Abbas Mir Qasim Mir Lyrics
Urdu New Noha Ya Abbas Ya Abbas Mir Qasim Mir Lyrics