ٹ کریں -->

Aye Sham e Gharebaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2004

Aye Sham e Gharebaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2004

Aye Sham e Gharebaan Hasan Sadiq Lyrics

Zainab Ki Sada Aayi Aye Sham-e-Ghareebaan.
Kya Bhai Ki Khata Thi Aye Sham-e-Ghareebaan.

Sab Khaimay Jal Chukay Hain Chadar Nahi Hai Sar Par.
Akbar Raha Na Ghazi Aye Sham-e-Ghareebaan.

-->

Seene Pe Soney Wali Khati Hai Ab Tamachay.
Had Ho Gayi Jafa Ki Aye Sham-e-Ghareebaan.

Jaltay Hoye Gharon Mein Jhola Bhi Jal Gaya Hai.
Rota Hai Aasmaan Bhi Aye Sham-e-Ghareebaan.

Gash Mein Para Hai Abid Kaisay Jagaye Zainab.
Hai Har Taraf Udasi Aye Sham-e-Ghareebaan.

Be Sar Paray Hain Lashay Zainab Kisay Sada De.
Looti Gayin Ridaein Aye Sham-e-Ghareebaan.

:REHAN: Ran Mein Tarpa Ik Bawafa Ka Lasha.
Zainab Ne Jab Sada Di Aye Sham-e-Ghareebaan.

Bazu Bandhay Hoye Hain Qaidi Bani Hoi Hai.
Kofay Ki Shah Zadi Aye Sham-e-Ghareebaan.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2004-05:

#AyeShameGharebaan
#NohayLyrics
#tajpoint

Aye Sham e Gharebaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2004 Write Up Poster Image

Aye Sham e Gharebaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2004

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!