Shabbir Ke Sajday Ko Khuda Dekh Raha Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2004
Shabbir Ke Sajday Ko Khuda Dekh Raha Hai
Matam Hai Yeh Shabeer Ka Haye Chadar-e-Tatheer Ka.
Sughra Dukhi Humsheer Ka Haye Asghar-e-Be Sheer Ka.
Shabeer Ke Sajday Ko Khuda Dekh Raha Hai.
Khanjar Talay Pyasay Ka Gala Dekh Raha Hai.
Gardan Pe Churi Sajday Mein Sar Lab Pe Dua Hai.
Mazloom Ki Har Aik Ada Dekh Raha Hai.
Sar Hai Kahin Tan Hai Kahin Banhein Lab-e-Darya.
Bikhra Howa Quran-e-Wafa Dekh Raha Hai.
Hai Khon Mein Dobi Hoi Tasveer-e-Payamber.
Ummat Se Muhammad Ko Khafa Dekh Raha Hai.
Jo Aayat-e-Tatheer Ki Tafseer Bani Thi.
Oss Bibi Ki Naizay Pe Rida Dekh Raha Hai.
Jaltay Hoye Khiyam Hain Bikhrey Hoye Lashay.
Manzar Yeh Sar-e-Karb-o-Bala Dekh Raha Hai.
Har Waqt Siyah Posh Hai Shabeer Ke Gham Mein.
Kabay Ko Bhi Masroof-e-Azza Dekh Raha Hai.
:JAWAD: Khuda Band Mera Deen-e-Nabi Par.
Imran Ke Beton Ki Atta Dekh Raha Hai.
Poet: :Jawad Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2004-05:
#ShabbirKeSajdayKo
#NohayLyrics
#tajpoint