Har Dam Hussain Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2005
Har Dam Hussain Tera Gham Hussain Hasan Sadiq
Hai Yehi Dua Har Momin Ki Rahe Aankh Hamari Nam Hussain.
Tasveer-e-Payamber Ke Gham Mein Yeh Sara Aalam Rota Hai.
Ghar Ghar Mein Majlis Jari Hai Ghar Ghar Mein Matam Hota Hai.
Zanjeer Se Matam Akbar Ka Ta Hashar Karein Gay Hum Hussain.
Khoon Haider Ka Hai Asghar Mein Iss Baat Ko Hurmal Bhool Gaya.
Tha Teer-e-Sitam Halqoom Pe Jo Naizay Pe Jhola Jhool Gaya.
Hai Kar Gaya Sare Aalam Ki Har Aankh Ko Woh Purnam Hussain.
Masoom Jawani Qasim Ki Ab Chain Se Khak Pe Soti Hai.
Kar Kar Ke Yaad Oss Manzar Ko Karbal Ki Zameen Bhi Roti Hai.
Jis Tarha Howa Tukray Tukray Maqtal Mein Tera Qasim Hussain.
Le Pursa Oss Masooma Ka Kano Se Jis Ke Khon Baha.
Jo Dafan Hoi Zanjeron Mein Jala Kurta Jis Ko Kafan Mila.
Takrati Thi Jo Sar Zindaan Se Ro Kehti Thi Har Dam Hussain.
Na Sar Ko Jhukanay Paye Laeen Chaha Tha Jhokana Jis Sar Ko.
Khud Apne Saron Se Bhi Oncha Para Unn Ko Uthana Iss Sar Ko.
Go Kat Gaya Tera Sar Lekin Phir Bhi Na Howa Yeh Kam Hussain.
Har Dam Karo Sunat Hai Matam Hain Kartay Rahe Yeh Khud Khatam.
Na Rokney Se Ruk Paye Ga Bharta Hi Rahe Ga Yeh Matam.
Zainab Ki Dua Hai Yeh Matam Hoga Na Kabhi Yeh Kam Hussain.
Ujra Hai Pak Muhammad Ka Ban Mein Hansta Basta Gulshan.
Karti Hai Matam Zainab Ka :KHURSHEED: Ke Dil Ki Har Dharkan.
Tere Akbar, Qasim, Asghar Ka Har Sans Mein Hai Matam Hussain.
Poet: :Haider Khursheed:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2005-06:
#HarDamHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Har Dam Hussain Hasan Sadiq Lyrics