Ghazi Ka Alam Logo Bakhshish Ki Zamanat Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2005
Ghazi Ka Alam Logo Bakhshish Ki Zamanat Hai Hasan Sadiq.
Baba Tera Shair-e-Khuda Tu Wafaon Ka Hai Shehanshah.
Ghazi Ka Alam Logo Bakhshish Ki Zamanat Hai.
Tazeem Karo Iss Ki Zahra Ki Amanat Hai.
Abbas Ka Yeh Parcham Karbal Ki Nishani Hai.
Wabasta Issi Se Kuch Pyason Ki Kahani Hai.
Maiyar Wafaon Ka Azmat Ki Alamat Hai.
Zalim Ne Kiye Dono Bazu Bhi Qalam Dekho.
Oncha Hi Raha Phir Bhi Ghazi Ka Alam Dekho.
Zainab Ki Duaon Se Ab Tak Yeh Salamat Hai.
Sar Aaj Bhi Oncha Hai Har Aik Namazi Ka.
Islam Yaqeenan Yeh Ahsan Hai Ghazi Ka.
Jo Aaj Talak Teri Sansoon Mein Hararat Hai.
Maula Ki Zareeh Pichey Aagay Hai Alam Dekho.
Karbal Ki Tarha Ab Bhi Mehsos Howa Mujh Ko.
Matam Ke Jaloson Mein Ghazi Ki Qayadat Hai.
Seene Se Laga Rakhna Har Ghar Pe Saja Rakhna.
Har Sham Diye Iss Ki Chokhat Pe Jala Rakhna.
:JAWAD: Yeh Sadiyon Se Momin Ki Ibadat Hai.
Poet: :Jawad Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2005-06:
#GhaziKaAlamLogo
#NohayLyrics
#tajpoint