Koi Hussain Sa Sajda Bhala Adda Tu Kare Hasan Sadiq Lyrics 1997
Koi Hussain Sa Sajda Bhala Adda Tu Kare Hasan Sadiq.
Keh Rashk Jis Pe Sada Khak-e-Karbala Tu Karey.
Shaheed Kaun Sa Guzra Hai Poray Aalam Mein.
Sina Ki Nook Pe Jo Zikar-e-Lailaha Tu Karey.
Lab-e-Furat Woh Bazu Kata Ke Soya Hai.
Abbas Jaisi Jahan Mein Koi Wafa Tu Karey.
Alam Ke Neechay Jo Mango Qabool Hoti Hai.
Khaloos-e-Dil Se Koi Shaks Gar Dua Tu Karey.
Main Baba Aap Ka Beta Hoon Go Keh Asghar Hoon.
Kaho Laeen Se Sitam Ki Woh Inteha Tu Karey.
Kahan Se Lao Gay Aisa Jigar Jo Dein Ke Liye.
Asar Se Pehle Bahatar Ko Jo Juda Tu Karey.
Kiya Hussain Ne Jaisay Hai Sabar Karbal Mein.
:AMEER: Sabar Pe Youn Koi Iktifa Tu Karey.
Poet: :Syed Shah Ameer Hussain Mashhadi:
Noha Khowan: :Hassan Sadiq:
Noha Volume: :Hassan Sadiq 1997-98:
#KoiHussainSaSajda
#NohayLyrics
#tajpoint