Jaise Hi Ghar Se Nikla Taboot Mujtaba Ka Hasan Sadiq Lyrics 1997
Jaise Hi Ghar Se Nikla Taboot Mujtaba Ka Hasan Sadiq.
Teeron Mein Ghir Giya Tha Farzand Murtaza Ka.
Kya Mila Tujhe Aye Zalim Qasim Yateem Kar Ke.
Kuch Bhi Na Khof Aaya Dill Mein Tere Khuda Ka.
Roko Na Aaj Mujh Ko Aye Chand Fatima Ke.
Dam Ghut Raha Hai Ab Tu Abbas Ki Wafa Ka.
Teeron Mein Hai Janaza Haye Oss Ke Ladlay Ka.
Hota Tha Jo Sahara Mushkil Mein Anbiya Ka.
Zati Na Koi Jang Thi Aulad-e-Murtaza Ki.
Sara Moamla Tha Islam Ki Baqa Ka.
Qalam-o-Dawaat Kaghaz Jo Na De Sake Nabi Ko.
Woh Haya Kare Gi Ummat Kya Aal-e-Mustafa Ka.
Pehchanne Se Qasir Har Koi Ameer Ho Ga.
Qasim Bharam Rakhe Ga Kuch Iss Tarha Chacha Ka.
Poet: :Syed Shah Ameer Hussain Mashhadi:
Noha Khowan: :Hassan Sadiq:
Noha Volume: :Hassan Sadiq 1997-98:
#JaiseHiGharSeNikla
#NohayLyrics
#tajpoint