Zair e Khanjar Jab Adda Sajda Kiya Shabbir Ne Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2002
Zair e Khanjar Jab Adda Sajda Kiya Shabbir Ne Hasan Sadiq.
Sheh-e-Karbala Sajdah Kiya Sar De Diya Uff Na Kiya.
Zair-e-Khanjar Jab Ada Sajdah Kiya Shabeer Ne.
Di Sada-e-Marhaba Quran Ki Tafseer Ne.
Nook-e-Naiza Par Tilawat Kar Chukay Shabeer Jab.
Zindagi Payi Dobarah Narah-e-Takbeer Ne.
Karbala Ka Marka Shabeer Ne Sar Kar Liya.
Sham Ko Sar Kar Liya Shabeer Ki Humsheer Ne.
Aik Beta Tha Hasan Ka Ho Gaya Shah Par Fida.
Kar Diye Do Lal Qurbaan Zainab-e-Dilgeer Ne.
Be Zabani Mein Ali Asghar Hoye Mehway Kalam.
Bolna Seekha Ho Jaisay Haidery Tasveer Ne.
Sham Ke Darbar Mein Abid Ne Jab Khutba Diya.
Paon Chomay Abid-e-Beemar Ke Zanjeer Ne.
Phaink Kar Teer-e-Tabasum Ashqiya Ki Foaj Par.
Karbala Ki Jang Jeeti Asghar-e-Be Sheer Ne.
Hashar Mein :REHAN: Soraj Jab Sawa Naizay Pe Tha.
Le Liya Saye Mein Mujh Ko Chadar-e-Tatheer Ne.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2002-03:
#ZaireKhanjar
#NohayLyrics
#tajpoint