Sughra Ko Rolata Hai Ye Chand Muharram Ka Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1998
Sughra Ko Rolata Hai Ye Chand Muharram Ka Hasan Sadiq.
Jab Samne Aata Hai Yeh Chand Muharram Ka.
Hum Sorat-e-Zahra Se Bhai Ke Bicharne Ki.
Khatoon-e-Qayamat Ke Ghar Bar Ujarney Ki.
Rodad Sunata Hai Yeh Chand Muharram Ka.
Kata Hai Gala Logo Seh Roz Ke Pyasay Ka.
Pamal Howa Lasha Ahmad Ke Nawasay Ka.
Har Ik Ko Batata Hai Yeh Chand Muharram Ka.
Tasveer Dikhata Hai Ahmad Ki Jawani Ki.
Har Shaks Ko Dunya Mein Karbal Ki Kahani Ki.
Tafseer Batata Hai Yeh Chand Muharram Ka.
Karbal Ki Ziyarat Ko Jo Aankh Tarasti Thi.
Shabeer Tere Gham Mein Jo Aankh Barasti Thi.
Oss Aankh Ko Bhata Hai Yeh Chand Muharram Ka.
Imran Ko Shabar Ko Khaton e Qayamat Ko.
Haider Ki Qasam :MAZHAR: Sarkar-e-Risalat Ko.
Turbat Mein Rulata Hai Yeh Chand Muharram Ka.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwan: :Hassan Sadiq:
Noha Volume: :Hassan Sadiq 1998-99:
#YeChandMuharramKa
#NohayLyrics
#tajpoint