Gonjti Sham e Gharibaan Mein Yeh Zainab Ki Sada Mera Koi Na Raha Hasan Sadiq Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Gonjti Sham e Gharibaan Mein Yeh Zainab Ki Sada Mera Koi Na Raha Hasan Sadiq Lyrics In Urdu and Roman Urdu

گونجتی شامِ غریباں مِیں یہ زینبؑ کی صدا میرا کوئی نہ رہا

Na Rahe Bhai Na Betay Chin Gayi Meri Rida Mera Koi Na Raha.

Aasrey Jis Ke Behan Chor Ke Aayi Thi Watan.
Mere Parday Ka Jisay Maa Ne Banaya Zamin.
Lab-e-Darya Mere Ghazi Ke Hoye Bazu Juda Mera Koi Na Raha.
Woh Jo Atharah Baras Nori Hijabon Mein Raha.
Laut Ke Aaon Ga Main Jis Ne Tha Sughra Se Kaha.
Haye Barchi Se Kaleja Mere Akbar Ka Chida Mera Koi Na Raha.
Mera Ghazi Bhi Gaya Qasim-o-Akbar Bhi Gaye.
Hur Sa Mehmaan Bhi Gaya Ibn-e-Mazahir Bhi Gaye.
Kis Ko Ghurbat Mein Sada Doon Karbala Yeh Tu Bata Mera Koi Na Raha.
Maa Ne Maqtal Mein Jisay Dulha Bana Kar Bhaija.
Mere Qasim Ka Badan Dasht Mein Pamal Howa.
Baal Kholay Hoye Roti Hoi Lashay Pe Kaha Mera Koi Na Raha.
Woh Sakina Ke Jisay Pyar Tha Baba Se Bara.
Baad Baba Ke Mili Jis Ko Tamachon Ki Saza.
Dur Jo Zalim Ne Utaray Khon Aankhon Se Baha Mera Koi Na Raha.
Poet: :Banda-e-Momin:
Noha Khuwan: :Hassan Sadiq:
Noha Volume: :Hassan Sadiq 2006-07:
#MeraKoiNaRaha
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!