Rasool Ki Ik Nishani Bachayi Na Gayi Asghar Khan Lyrics In Urdu 2022
Rasool Ki Ik Nishani Bachayi Na Gayi Asghar Khan.
Woh Jal Rahi Thi Magar Aag Bhojayi Na Gayi.
Kaisi Takleef Khuda Jane Fatima Ko Hoi.
Aik Hi Ghar Mein Thi Zainab Jo Bulayi Na Gayi.
Sare Hi Deen Ke Andherey Mitaye Jis Ne.
Oss Ki Maiyyat Kyun Bhala Din Mein Uthai Na Gayi.
Yeh Ali Ko Hi Pata Hai Kaisi Halat Thi.
Pehlu Ke Bal Bhi Lehad Mein Jo Solayi Na Gayi.
Pasliyaan Dekh Lein Madar Ki Tu Mar Jaein Gay.
Bachoon Se Aisay Hi Maiyyat Tu Chupayi Na Gayi.
Zakhmi Pehlu Se Bhi Barh Ke Yeh Gham Tha Zahra Ko.
Qabar Jo Baba Ke Pehlu Mein Banai Na Gayi.
Bas Khuda Jane :SALAMAT: Keh Oss Ki Janib Se.
Qabar-e-Zahra Ki Haqeeqat Kyun Batai Na Gayi.
Poet: :Salamat Ali Feroz:
Composition: :Asghar Khan:
Matami Sangat
Markazi Matami Dasta Chan Pear Party
Behlol Dana Parveiz Asghar Group Sialkot
#RasoolKiIkNishani
#NohayLyrics
#tajpoint