Suno Akbar Ki Jang – Imran Abbas – Zawar Ali Raza Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Suno Akbar Ki Jang – Imran Abbas – Zawar Ali Raza Lyrics In Urdu and Roman Urdu

سُنو اکبرؑ کی جنگ

Ya Rab Mujhe Nafees Sa Unwan Chahiye.
Alfaz Mein Taqadus e Quran Chahiye.
Nook-e-Qalam Mein Wosat-e-Imkan Chahiye.
Idrak Mein Bhi Khaima-e-Imran Chahiye.
Mozu Pe Mere Husan Ka Maiyar Dad De.
Akbar Main Tab Parhon Ga Karrar Dad De.
Socho Agar Naqab Ulat Doon Tu Kya Rahe.
Phir Dasht-e-Karbala Mein Rahe Tu Khuda Rahe.
Ya Phir Hamarey Baba Ki Khiyam Ga Rahe.
Ya Phir Batool e Pak Ke Sar Ki Rida Rahe.
Kaun-o-Makaan Jo Hiddat e Mehshar Mein Aaein Gay.
Hum Teeno Tab Batool Ki Chadar Mein Aaein Gay.
Akbar Yeh Bolay Marzi-e-Mehshar Khiram Chal.
Dil Hi Nahi Keh Khaincho Main Teri Lajam Chal.
Youn Chal Keh Murtajiz Tujhey Bhaijay Salam Chal.
Mujh Se Hai Izraeel Ko Thora Sa Kam Chal.
Tameel e Hukam Maula Basad Naaz Karni Hai.
Chalna Hai Dorna Hai Ya Parwaz Karni Hai.
Hum Ne Khuda Ko Jhuk Keh Bataya Namaz Hai.
Hum Oss Ki Nazar Hain Woh Hamari Niyaz Hai.
Hum Wo, Woh Hum Hain Kaisay Hai Yeh Bhi Raaz Hai.
Jo Sar Hamarey Talwon Pe Hai Sarfaraz Hai.
Dil Jis Ka Ho Azan Se Haider Nikal De.
Koshish Karey Woh Pehle Keh Akbar Nikal De.
Pohanchi Jo Wast e Ran Mein Woh Laila Ki Sajdah Ga.
Dali Sipah-e-Sham Pe Ain ALLAH Ne Nigah.
Woh Roab Tha Nazar Mein Keh ALLAH Ki Panah.
Jismo Pe Kapkapi Thi Zabno Pe LaIlaha.
Nazron Ka Jaal Itna Bara Phainkta Hai Yeh.
Har Aankh Ko Laga Keh Mujhe Dekhta Hai Yeh.
Akbar Yeh Keh Ke Aagay Barha Ya Ali Madad.
Tha Taig Ka Wajood-e-Qaza Ya Ali Madad.
Nabiyon Ka Wird Taiz Howa Ya Ali Madad.
Had Hai Keh Shamiyon Ne Kaha Ya Ali Madad.
Oss Sancha e Nigah Mein Dhal Jati Karbala.
Rukh Se Paseena Girta Tu Jal Jati Karbala.
Dil Hai Saron Ki Fasal Ko Katon Magar Nahi.
Oncha Hamarey Talwon Se Koi Bhi Sar Nahi.
Hum Sadqa Rook Dein Tu Yeh Shams-o-Qamar Nahi.
Hum Mein Tu Kya Uqab Mein Fojon Ka Dar Nahi.
Dil Hai Namona Dekho Tu Thoray Se Mar Doon.
Talwar Toor Kar Tumhein Ghorey Se Mar Doon.
Jis Ne Sar-e-Hussain Ki Qeemat Lagai Hai.
Qeemat Mein Kya Lagaya Hai Wahdat Lagai Hai.
Ya Kibriya Ki Sari Mashiyat Lagai Hai.
Ya Phir Jahan-e-Kun Ki Hakomat Lagai Hai.
Yeh Sab Hamarey Ghar Ke Gada Gar Keh Pas Hai.
Warna Tu Inn Se Qeemati Mera Libas Hai.
Uthi Nigah-e-Akbar-e-Jarrar Soye Foaj.
Phir Izraeel Aane Laga Robaro e Foaj.
Jaisay Keh Moot Songhne Nikli Ho Bo-e-Foaj.
Lag Sa Gaya Tha Maut Keh Munh Ko Lahoye Foaj.
Har Ik Addo Ka Jism Tha Khoon Mein Atta Howa.
Har Seena Youn Tha Jaisay Girebaan Phata Howa.
Dast-e-Asad Mein Taig Keh Dharney Ki Dair Thi.
Maidan-e-Jang Mein Bhi Utarney Ki Dair Thi.
Akbar Keh Ossay Amar Hi Karne Ki Dair Thi.
Dopara Badan Ho Gaye Marne Ki Dair Thi.
Shukar-e-Khuda Hai Dasht Mein Aa Kar Tu Bach Gaye.
Jibreel Dekhta Tha Mere Par Tu Bach Gaye.
Poet: :Syed Haider Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Imran Abbas Mani & Zawar Ali Raza:
Manqabat Volume: :Imran Abbas Mani & Zawar Ali Raza 2020-21:
Composition: :Imran Abbas Mani:
#SunoAkbarKiJang
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!