Faryaad e Bali Sakina Qamar Baltistani Lyrics In Urdu and Roman Urdu
فریادِ بالی سکینہؑ
Kaun Rota Hai Keh Har So Hai Fizaye Giriya.
Kis Ki Aawaz Se Yeh Khana-e-Kaba Larzah.
Zalzala Aane Laga Our Falak Kanp Utha.
Aasmano Pe Yeh Har Aik Farishtay Ne Suna.
Qaid Khane Se Sada Aati Hai Baba Baba.
Ghut Ke Mar Jaye Gi Zindaan Mein Sakina Baba.
Yeh Nishaan Neel Ke Rukhsar Se Jate Hi Nahi.
Kitni Be Dardi Se Zalim Ne Hai Mara Baba.
Mujh Pe Oss Waqt Qayamat Ki Ghari Guzri Keh Jab.
Sham Walon Ne Kaneezi Mein Tha Manga Baba.
Goshwaray Mere Cheeney Gaye Zakhmi Hoi Main.
Kya Bataon Keh Jalaya Mera Kurta Baba.
Mujh Ko Le Jao Madina Main Hoon Ghamgeen Yahan.
Yaad Aati Hai Bohat Fatima Sughra Baba.
Jis Mein Bhaiyya Ali Asghar Ko Jhulati Thi Main.
Main Nahi Bhool Saki Jholay Ka Jalna Baba.
Haan Sada Deti Thi Main Sham-e-Ghareebaan Mein Tumhein.
Tum Nahi Aaye Magar Aaye They Dada Baba.
Baap Ke Sar Se Lipat Kar Kaha Beti Ne :AIMAAD:.
Mujh Ko Churwa Do Yahan Ab Nahi Rehna Baba.
Poet: :Syed Aimaad Naqvi:
Noha Khuwan: :Qamar Baltistani:
Noha Volume: :Qamar Baltistani 2022-23:
Composition: :Qamar Baltistani:
#FaryaadeBaliSakina
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com