Masaib e Sadaat Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Masaib e Sadaat Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu and Roman Urdu

مصائبِ سادات

Khuda Ne Sirf Deein Sadaat Ko Sardariyaan Phir Bhi.
Magar Ummat Ne Kein Unn Par Sitam Aaraiyan Phir Bhi.
Batai Thi Nabi Ne Aal Ki Tauqeer Ummat Ko.
Magar Sehtay Rahe Sadaat Zulm-o-Sakhtiyaan Phir Bhi.
Sitam Ki Inteha Tu Ho Chuki Thi Qatal-e-Zahra Par.
Magar Bibi Ki Turbat Ki Hoin Mismariyan Phir Bhi.
Ali Ka Sar Howa Tukray, Kati Shabeer Ki Gardan.
Sada Sajday Ki Halat Mein Rahein Peshaniyan Phir Bhi.
Musalmaan Khud Yeh Kehte They Keh Humshakal-e-Nabi Hai Woh.
Bohat Mari Gayin Akbar Ko Ran Mein Barchiyaan Phir Bhi.
Katay Ghazi Ke Bazo, Chid Gaya Halq-e-Ali Asghar.
Jahan Mein Reh Gayin Pani Ki Tashna Kamiyan, Phir Bhi.
Ali Jaisay Padar Ne Be Rida Dekha Na Tha Jin Ko.
Sar-e-Bazar Woh Layi Gayin Syedaniyaan Phir Bhi.
Sulaya Qabar Mein Abid Ne Masooma Ko Khoon Ro Kar.
Abhi Tak Uthti Hain Zindaan Se Oss Ki Siskiyaan Phir Bhi.
Taqi, Maula Naqi, Kazim, Raza Rehbar They Ummat Ke.
Sahein Sab Ne Magar Qaid-e-Sitam Ki Sakhtiyaan Phir Bhi.
Bahatar Sar, Jalay Khaimay, Ridaein, Tishnagi, Qaidein.
:IRAM: Deein Ki Baqa Ko Chahiye Do Baliyaan Phir Bhi.
Poetess: :Shumaila Iram:
Noha Khowan: :Meesum Kashmiri:
Noha Volume: :Meesum Kashmiri 2023-24:
Composition: :Saleem Mehrabpuri:
#MasaibeSadaat
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

error: Content is protected !!