Mere Andar Basi Hai Karbala Kazmi Brothers Lyrics 2023
Mere Andar Basi Hai Karbala Kazmi Brothers
Main Jahan Jaon Mere Andar Basi Hai Karbala.
Bach Ke Dharkan Mere Dil Mein Gonjti Hai Karbala.
Mere Seene Mein Azal Se Bas Raha Hai Ya Hussain.
Yeh Jo Dharkan Ki Musalsal Ik Sada Hai Ya Hussain.
Har Ghari Aawaz Mujh Ko De Rahi Hai Karbala.
Gonjtay Hain Ya Hussaina Se Musalsal Baam-o-Dar.
Chodah Sadiyon Se Hai Jari Sheh Ke Matam Ka Safar.
Iss Tarha Seena Ba Seena Chal Rahi Hai Karbala.
Maa Ne Dikhlaya Hai Rasta Farsh-e-Majlis Ka Humein.
Halqa-e-Matam Mein Le Kar Aaye Hain Baba Humein.
Gaud Se Maa Baap Ki Hum Ko Mili Hai Karbala.
Sham-o-Kofa Ke Safar Mein Beriyaan Thamay Rahi.
Tauq Ka Bosa Kabhi Zanjeer Ka Bosa Kabhi.
Abid-e-Beemar Se Lipati Hoi Hai Karbala.
Taziyane Khaye Gi Himmat Magar Dikhlaye Gi.
Sham Tak Mazloom Ka Paigham Le Kar Jaye Gi.
Sheh Ki Maiyyat Se Qasam Kha Kar Uthi Hai Karbala.
Sabar Walay Taza Dam Hain Zulm Walay Thak Gaye.
Khanjron Ne Haar Mani Nezay Bhalay Thak Gaye.
Pichey Hatney Ki Jagah Aagay Barhi Hai Karbala.
Hai Kahin Akbar Jawaan Ka Sar Kahin Be Sheer Ka.
Sar Buredah Hai Kahin Abbas Ka Shabeer Ka.
Nook-e-Naiza Pe Safar Karti Rahi Hai Karbala.
Be Kafan Oss Syed-o-Sardar Par Lakhon Salam.
Aik Din Ho Ga :TAKALLUM: Oss Ke Khoon Ka Inteqam.
Muntazir Ibn-e-Ali Ki Aaj Bhi Hai Karbala.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha khuwan: :Kazmi Brothers:
Noha Volume: :Kazmi Brothers 2023-24:
Composition: :Raza Shah:
#MereAndarBasiHaiKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint