Noor e Nazar Ki Lash Syed Mudassir Mehdi 2023 Lyrics Urdu
نور نظر کی لاش
Itna Ghareeb Dehar Mein, Koi Padar Na Ho.
Noor-e-Nazar Ki Lash Ho, Noor-e-Nazar Na Ho.
Zainab Ne Ossay Pala Hai Armano Se Bibi.
Woh Kaisay Kalejay Mein Sina Dekh Sakay Gi.
Akbar Ka Sun Ke Ranj Se Mar Jaye Gi Zainab.
Laila Duaein Kijiye Oss Ko Khabar Na Ho.
Aye Bibi Musalla Zara Khaimay Mein Bicha Ke.
Khaliq Se Duaein Karo Hathoon Ko Utha Ke.
Zakhmi Jo Kar De Naizay Se Ik Chand Sa Seena.
Itna Bhi Dehar Mein Koi Zalim Bashar Na Ho.
Akbar Ki Judai Mein Yeh Dil Phatta Hai Gham Se.
Yeh Sadma Kissi Toor Na Uth Paye Ga Hum Se.
Yeh Din Kissi Bhi Shaks Ko Qismat Na Dikhaye.
Borhay Padar Ke Wastay Zindah Pisar Na Ho.
Laila Hamara Ho Gaya Jeena Bara Dushwar.
Zalim Ne Jawaan Lal Ke Seene Pe Kiya Waar.
Borhay Padar Ke Samne Kuch Bhi Ho Aye Laila.
Lekin Pisar Ka Samne Zakhmi Jigar Na Ho.
Jalti Hoi Reti Pe Tarapta Howa Lasha.
Seena Tha Tere Lal Ka Our Zakhm Sina Ka.
Jis Tarha Merey Zanu Pe Phir Oss Ne Rakha Sar.
Aisay Kissi Ke Zanu Pe Betay Ka Sar Na Ho.
Iss Tarha Se Sab Zulm-o-Sitam Dekhey Hain Main Ne.
Ghurbat Mein Uthata Hi Raha Lashon Pe Lashay.
Be Chain Tha Jis Tarha Se Main Waqt-e-Azaan Se.
Bibi Kissi Zaeef Ki Aisi Sahar Na Ho.
Likhon Ga :JARY: Kis Tarha Ashor Ka Manzar.
Betay Ke Janazay Pe Taraptay Rahe Sarwar.
Abbas Ke Lashay Pe Kamar Toot Chuki Thi.
Lash-e-Jawaan Pe Baap Ki Tooti Kamar Na Ho.
Poet: :Jary Raza:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2023-24:
Composition: :Waheed Ul Hasan Kamalvi:
#NooreNazarKiLash
#NohayLyrics
#tajpoint