Chehlum Hai Karbala Mein Hussaini Sipah Ka Rehan Azmi Lyrics 2012
Chehlum Hai Karbala Mein Hussaini Sipah Ka Rehan Azmi.
Ik Shoor Uth Raha Hai Kalejon Se Aah Ka.
Ganjay Shaheedan Dasht-e-Bala Our Bani Asad.
Kartay Hain Dafan-e-Shah Mein Sajjad Ki Madad.
Manzar Ajeeb Aaj Howa Qatal Gah Ka.
Laila Ke Bain Sun Ke Larazti Thi Karbala.
Fart-e-Alam Se Khushk Hoi Nehar-e-Alqama.
Noha Parha Jo Laila Ne Oss Rashk-e-Mah Ka.
Abid Ka Haal Lafzoon Mein Kaisay Biyan Ho.
Maqtool Jis Ke Samne Kul Khandan Ho.
Kyunkar Lahu Na Tapkay Zameen Par Nigah Ka.
Jab Hashar Mein Lagay Gi Adalat Batool Ki.
Insaf Rab Se Mangay Gi Beti Rasool Ki.
Sajjad Kam Dein Gay Wahan Ik Gawah Ka.
Har Sar Buredah Jism Ka Sar Le Ke Aaye Hain.
Qaid-e-Sitam Se Zakhm-e-Jigar Le Ke Aaye Hain.
Matam Hai Yeh Rasool Ke Noor-e-Nigah Ka.
Maqtal Ki Khak Farsh-e-Azza Ban Gayi Hai Aaj.
Yani Woh Khak, Khak-e-Shifa Ban Gayi Hai Aaj.
Jis Par Baha Tha Khon Madine Ke Shah Ka.
Zainab Ki Soz Khuwani Hai Abid Ki Zakiri.
Seena Zano Mein Fazal Hai Baqir Hain Fizza Bhi.
Matam Bapa Hai Dasht Mein Youn Dein Panah Ka.
Marqad Pe Ja Ke Bhai Ke Zainab Ne Di Sada.
Bhai Behan Ke Qalb Pe Koh-e-Alam Gira.
Taza Hai Zakhm Seene Mein Kofay Ki Rah Ka.
:REHAN: Shukar-e-Rab Hai Qalam Surkhuru Raha.
Main Ne Kabhi Kiya Nahi Ghairon Ka Tazkira.
Ilzam Apne Sar Na Liya Iss Gunah Ka.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Rehan Azmi:
Noha Volume: :Rehan Azmi 2011-12:
#ChehlumHaiKarbalaMein
#NohayLyrics
#tajpoint