Ghar Jalaya Gaya Hai Jafar Ka Safdar Kaleem Lyrics Urdu 2020
Ghar Jalaya Gaya Hai Jafar Ka Safdar Kaleem.
Jaisay Zahra Ka Dar Jalaya Tha.
Yaad Aane Lagi Shab-e-Ashor.
Phir Madina Bana Hai Karb-o-Bala.
Ghar Mein Syedaniyaan Bhi Thin Mojood.
Phir Woh Manzar Tha Sham-e-Ghurbat Ka.
Kyun Gareebon Ka Ghar Jalatay Ho.
Kya Musalmaan Nahi Hai Khoof-e-Khuda.
Dushmani Kya Hai Aal-e-Ahmad Se.
Phir Muhammad Ko Kyun Rulaya Gaya.
Youn Giraftar Kaun Karta Hai.
Kyun Musalay Se Hai Ghaseeta Gaya.
Haye Maula Imam-e-Sadiq Ko.
Zehar De Kar Shaheed Kar Dala.
Yeh Yateemi Ki Shab Hai Kazim Ki.
Phir Se Zahra Hain Aaj Mehway Boka.
Qabar Mismar Misal-e-Zahra Hai.
Our Roney Pe Bhi Hai Pehra Laga.
Kaisay :AKHTAR: Biyaan Ho Woh Manzar.
Ibn-e-Baqir Ka Jab Janaza Utha.
Poet: :Akhtar Kaleem:
Noha Khuwan: :Safdar Kaleem:
Noha Volume: :Safdar Kaleem 2020-21:
#GharJalayaGayaHaiJafarKa
#NohayLyrics
#tajpoint