Ali Roney Lagey Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2024
Ali Roney Lagey Shahid Baltistani
Dekh Kar Beti Ke Aanso Khud Bhi Ro Jata Hai Baap.
Kitna Be Bas Betiyon Ke Gham Mein Ho Jata Hai Baap.
Sar Shikasta Ho Gaya Lekin Ali Khamosh They.
Betiyon Ka Jab Khiyal Aaya Ali Roney Lagay.
Dard Ki Shiddat Mein Bhi Na Aankh Se Aanso Bahey.
Betiyon Ka Jab Khiyal Aaya Ali Roney Lagay.
Jab Hasan Ne Baap Ka Sar Apne Zanu Par Rakha.
Zakhm Gehra Dekh Ke Shabbir Ne Giriya Kiya.
Apne Beton Ko Musalsal Hosla Detey Rahe.
Betiyon Ke Haal Ka Tha Baap Ki Aankhon Mein Gham.
Haye Zainab Haye Chadar Keh Rahe They Har Qadam.
Masjid-e-Kofa Se Ghar Tak Raston Ko Dekh Ke.
Dekh Ke Iss Haal Mein Mar Jaye Na Zainab Meri.
Samne Oss Ke Main Ghar Se Chal Ke Aaya Tha Abhi.
Apne Beton Ke Saharey Haye Ghar Jate Hoye.
Karbala Yaad Aayi Tu Choma Gala Shabbir Ka.
Our Phir Abbas Ke Shano Ka Bhi Bosa Liya.
Haan Magar Sajjad Ke Nanhay Se Paon Chom Ke.
Kitne Manzar Aa Rahe They Murtaza Ke Robaro.
Zakhmi Sar Se Beh Ke Aa Pohancha Jo Chehray Tak Lahu.
Sham Mein Sar Pe Barastay Pathron Ka Soch Ke.
Jab Gayin Darbar Zahra They Sahabi Samne.
Sham Ke Darbar Mein Hoon Gay Sharabi Samne.
Aakhri Sansoon Mein Nam-e-Fatima Letey Hoye.
Kyun Ali Ki Aankh Se Hotey Rahe Aanso Rawaan.
Bas Woh Samjhay Ga Khuda Ne Di Hain Jis Ko Betiyaan.
Dil Tarap Kar Reh Gaya Jab Yeh Suna :ZEESHAN: Se.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volum: :Shahid Baltistani 2023-24:
Composition: :Shahid Baltistani:
#AliRoneyLagey
#NohayLyrics
#tajpoint