Gham e Hussain Ka Maqsad Piaray Khan Lyrics In Urdu 2024
Gham e Hussain Ka Maqsad Piaray Khan.
Gham-e-Hussain Ka Maqsad Badal Nahi Sakta.
Khiyam Jal Gaye, Paigham Jal Nahi Sakta.
Yeh Baat Bhool Gaye Dushman-e-Abu Talib.
Rasool Kufar Ke Daman Mein Pal Nahi Sakta.
-->
Hussain Zindah Hain, Jab Tak Zamana Baqi Hai.
Yazidiyat Ka Shajar Phool Phal Nahi Sakta.
Woh Jis Ki Aankh Mein Aanso Gham-e-Hussain Ke Hain.
Yaqeen Hai Atish-e-Dozakh Mein Jal Nahi Sakta.
Na Sheh Ko Subh-e-Alam Se Dara Shab-e-Ashor.
Hussain Keh Dein Tu Soraj Nikal Nahi Sakta.
Nikal Tu Aaye Ga Nawak Galuye Asghar Se.
Magar Rubab Ke Dil Se Nikal Nahi Sakta.
Poet: :Syed Waheed Ul Hasan Hashmi:
#GhameHussainKaMaqsad
#SalamLyrics
#tajpoint
Gham e Hussain Ka Maqsad Piaray Khan Lyrics In Urdu 2024 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
