Gham E Hussain Anjuman E Dar E Hussain Lyrics Urdu 2024

Gham E Hussain Anjuman E Dar E Hussain Lyrics Urdu 2024

Gham E Hussain Anjuman E Dar E Hussain.

Gham-e-Hussain Ko Koi Bhula Nahi Sakta.
Yeh Woh Charag Hai Jo Jhilmila Nahi Sakta.

Bolandiyon Pe Hain Esa Bhi Our Mosa Bhi.
Jahan Hussain Hain Koi Bhi Ja Nahi Sakta.

Woh Manzil Aaj Bhi Makhsoos Aik Manzil Hai.
Jahan Pe Hur Ke Siwa Koi Ja Nahi Sakta.

Bhala Hussain Ki Woh Tashnagi Ko Kya Samjhay.
Jo Apne Khon Ka Darya Baha Nahi Sakta.

Jawaan Ki Lash Pe Hai Baap Iss Tarha Majboor.
Uthana Chahta Hai Our Utha Nahi Sakta.

Gham-e-Hussain Tu Hai Nazm Kainat Ke Sath.
Zamana Lakh Bhulaye Bhula Nahi Sakta.

Alam Ko Jis Tarha Abbas Ne Uthaya Tha.
Lahu Mein Doob Ke Koi Utha Nahi Sakta.

Siwa Hussain Ke Aye :FAZAL: Do Jahan Mein Koi.
Zameen Ko Arsh Ka Humsar Bana Nahi Sakta.

Poet: :Fazal Lakhnavi:
Noha Khuwan: :Gham E Hussain:
Noha Volume: :Gham E Hussain 2024-25:
Composition: :Syed Ali Yazdaan:

#GhamEHussain
#NohayLyrics
#tajpoint

Gham E Hussain Anjuman E Dar E Hussain Lyrics Urdu 2024 Write Up Poster Image

Gham E Hussain Anjuman E Dar E Hussain Lyrics Urdu 2024

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!