Sar Ghazi Ka Rahwar Ki Gardan Se Lyrics Urdu 2024
Sar Ghazi Ka Rahwar Ki Gardan Se Bandha Hai.
Khoon Mein Bani Hashim Ka Qamar Doba Howa Hai.
Larney Ki Ijazat Nahi Yeh Soch Ke Ghazi.
Maidan Mein Larney Ki Tamana Se Lara Hai.
Darya Ki Taraf Dekh Ke Kehti Thi Sakina.
Ghazi Chacha Aa Jao Laeen Mar Raha Hai.
Kehti Thi Behan Rakh De Ga Talwar Zameen Pe.
Bas Itna Kaho Sani-e-Zahra Ne Kaha Hai.
Mashkezay Pe Yeh Teer Nahi Dil Pe Chala Hai.
Behtay Hoye Pani Ki Tarha Ghazi Gira Hai.
Yeh Jeene Ki Hasrat Hai Ya Taqdeer Ki Hasrat.
Bikhri Hoi Maqtal Mein Youn Zahra Ki Dua Hai.
Dewar Pe Sar Mar Ke Mar Jana Hai Kaisay.
Aye Shimar Yeh Abbas Ke Ashal Ko Pata Hai.
:SAQLAIN: Alam Aaj Bhi Deta Hai Gawahi.
Mashkeza Alamdar Ke Seene Se Laga Hai.
Poet: :Saqlain Akbar:
Composition: :Akbar Abbas:
Noha Khuwan Salar Zawar Ali Raza Noshi Khan
Anjuman e Guldasta Jaffria Lahore Pakistan
New Noha Lyrics 1445 Hijri 2024
#SarGhaziKaRahwarKi
#NohayLyrics
#tajpoint