Teen Din Ka Bhookha Pyasa Anjuman E Abbasia Patna 2023
Teen Din Ka Bhookha Pyasa Anjuman E Abbasia Patna
Lasha-e-Akbar Pe Sheh Kartay They Yeh Aah-o-Boka.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Zainab-e-Dilgeer Ki Godi Ka Pala Tha Yehi.
Our Apni Maa Ki Aankhon Ka Ujala Tha Yehi.
Ho Gaya Hai Aaj Hum Se Karbala Mein Yeh Juda.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Arman Tha Keh Dasht Mein Shadi Rachaein Gay Teri.
Laein Gay Dulhan Biyah Ke Chand Si Beta Teri.
Khaimay Mein Ab Lash Ko Roti Hai Beta Mamta.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Poshaak Teri Shadi Ki Sehra Ali Akbar Tera.
Haan Sajatay Dasht Mein Khaima Sabhi Akbar Tera.
Ho Gaya Hai Dasht Mein Sapna Sabhi Reza Mera.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Haan Ujala Tha Shah-e-Zeeshan Ki Aankhon Ka Tu.
Haan Shabeeh e Mustafa Aye Lal Ke Lagta Tha Tu.
Haan Mita Di Dasht Mein Tasveer-e-Mehboob-e-Khuda.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Lut Gayi Hai Dasht Mein Beta Teri Maa Ki Rida.
Chal Diye Hum Sham Ko Ab Chor Kar Yeh Qatal Ga.
Haan Kaho Uth Kar Yeh Maa Ko Maa Khuda Hafiz Tera.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Kar Rahi Hai Yaad Tujh Ko Ik Behan Sughra Wahan.
So Gaya Bhai Bala Ke Dasht Mein Oss Ka Yahan.
Tak Rahi Hai Rah Jo Oss Ko Kahon Kiya Yeh Bata?.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Dukh Nahi Keh Lut Gayi Chadar Meri Aye Lal Sun.
Dukh Jo Hai Sab Se Bara Dil Ko Mere Aye Lal Sun.
Nezay Pe Dekhey Gi Kaisay Sar Tera Yeh Mamta.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
:ANJUMAN E ABBASIA: Ke Lab Pe Hai Pursa Tera.
Ro Raha Hai Likhtay Likhtay Sindh Mein :ZAIDI: Tera.
Matami Ke Dil Ki Sun Our Pori Kar Inn Ki Dua.
Teen Din Ka Bhoka Pyasa Nojawaan Mara Gaya.
Poet: :Syed Ali Abbas Zaidi:
Noha Khuwan: :Anjuman E Abbasia Patna:
#BhaiKaLasha
#NohayLyrics
#tajpoint
Shehzada Ali Akbar Noha Teen Din Ka Bhookha Pyasa