Bichrey Safar Mein Aisay Muslim Ke Pisar Dono Lyrics In Urdu 2019
Bichrey Safar Mein Aisay Muslim Ke Pisar Dono.
They Lakht-e-Jigar Dono They Noor-e-Nazar Dono.
Jab Qatal Hoye Muslim Kofay Ki Fizaon Mein.
Khon-e-Abu Talib Ki Khushbo Thi Hawaon Mein.
Pichey Thi Ajal Unn Ke Jate They Jidhar Dono.
Saye Se Bhi Dartey they Soraj Se Bhi Chuptay They.
Zalim Tha Taqab Mein Iss Wastay Sehmey They.
Jab Dhondne Phirte They Apna Koi Ghar Dono.
Ghurbat Thi Yateemi Thi Bache They Musafir They.
Khalaq-e-Do Alam Ki Dargah Mein Hazir They.
Thi Zaat-e-Khuda Sar Pe Be-Ghar They Magar Dono.
Jatey Tu Kahan Jatay Waqif Na They Raston Se.
Darya Ki Tarha Aanso Behtay Rahe Aankhon Se.
Qudrat Ke Bharosay Pe Karte They Safar Dono.
Ik Chupne Ki Ja Payi Qismat Yeh Kahan Layi.
Karta Tha Dua Har Dam Bhai Ke Liye Bhai.
Qismat Se Chupay Ja Ke Qatil Ke Hi Ghar Dono.
Poet: :Rehan Azmi:
Soz: :Haider Ali Muhib:
#NohayLyrics
#tajpoint