Jalta Hua Bistar Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جلتا ہوا بستر
Jalta Howa Bistar Koi Beemar Na Dekhey.
Be Jurm-o-Khata Tauq-e-Garaan Bar Na Dekhey.
Mar Jaye Na Sadmay Hi Se Beemar Elahi.
Be Pardah Haram Ko Sar-e-Bazar Na Dekhey.
Mango Yeh Duaein Shab-e-Ashor Sakina.
Yeh Raat Kabhi Subha Ke Aasaar Na Dekhey.
Thi Fikar Yeh Zainab Ko Rida Bhi Nahi Sar Par.
Iss Haal Mein Abbas-e-Alamdar Na Dekhey.
Sar Naizay Se Ghazi Ne Giraya Hai Zameen Par.
Zainab Ka Khula Sar Koi Badkar Na Dekhey.
Marey Hain Sitamgar Ne Sakina Ko Tamachay.
Zalim Ne Zara Phool Se Rukhsar Na Dekhey.
Milti Hain :KALEEM: Oss Ko Sakina Se Duaein.
Bachoon Ko Jo Be Yaar-o-Madadgar Na Dekhey.
Poet: :Kaleem Zafar:
Noha Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Noha Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2021-22:
Composition: :Mukhtar Hussain Fatehpuri – Izhar Fatehpuri:
#JaltaHuaBistar
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com