Imtehane Hussain AS Saleem Mastan Wa Bradran Lyrics Urdu 2024
Imtehane Hussain AS Saleem Mastan Wa Bradran.
Hussain Sabar Pa Tere Hamari Jan Fida.
Khushi Se Maut Ko Aagosh-e-Atifat Mein Liya.
Kaleem-e-Fard They Himmat Mein Phir Bhi Waqt-e-Qaza.
Kaha Malak Se Keh Ahbab Se Mil Aaein Zara.
Woh Martay Waqt Har Aik Se Bazaib-o-Zain Miley.
Magar Na Zainab-o-Kulsoom Se Hussain Miley.
Bagosh Hosh Kuch Ab Hal-e-Karbala Suniye.
Suna Jo Main Ne Tasawar Mein Woh Zara Suniye.
Biyan Himmat-o-Sabar-e-Sheh-e-Huda Suniye.
Woh Aati Hai Malak Al-Maut Ki Sada Suniye.
Mila Jo Hukam Ke Sar Se Nikal Jan-e-Hussain.
Kaha Keh Sakht Hai Ya Rab Yeh Imtehan-e-Hussain.
Laga Hai Zakhm-e-Tabar Beh Raha Hai Sar Se Lahu.
Bharay Hain Khon Mein Jan-e-Rasool Ke Gesu.
Qareeb Ja Ke Rakhon Dil Pe Kis Tarha Qabo.
Keh Iss Lahu Mein Tu Hai Fatima Ke Doodh Ki Boo.
Nida Yeh Aayi Keh Aankhein Tu Daal Aankhon Mein.
Kaha Behan Ka Hai Iss Dam Khiyal Aankhon Mein.
Main Phir Inn Aankhon Pe Dhaon Sitam Yeh Kya Hai Zaror.
Bichar Ke Jo Ali Akbar Se Ho Gayin Be Noor.
Nida Yeh Aayi Dahan Se Nikal Jan-e-Hazoor.
Kaha Dahan Mein Tu Kantay Paray Hain Rab-e-Ghafoor.
Yeh Jaan Bulb Sitam-o-Joor e Ashqiya Se Hain.
Zabaan Hai Ayenthi Hoi Teen Din Se Pyasay Hain.
Nida Yeh Aayi Ke Gardan Se Khainch Jaan Inn Ki.
Kaha Main Kya Kahon Gardan Pe Chal Rahi Hai Churi.
Churi Pakar Ke Yeh Chilati Hai Koi BiBi.
Na Zibha Kar Mere Bachay Ko Main Dua Doon Gi.
Jahan Rawaan Tere Khanjar Ki Aab Hai Zalim.
Yeh Bosa Gah-e-Risalat Maab Hai Zalim.
Nida Yeh Aayi Ke Seene Se Qabz Kar Le Jaan.
Kaha Woh Teeron Se Chalni Hai Aye Mere Rehmaan.
Abhi Tu Mar Ke Barchi Hata Tha Aik Shaitaan.
Our Ab Tu Hai Tah-e-Zanu-e-Shimar Pe Quraan.
Yeh Karb Hai Keh Rukh-e-Pak Zard Hai Ya Rab.
Tere Hussain Ke Seene Mein Dard Hai Ya Rab.
Nida Yeh Aayi Ke Mazlomiyat Ke Rutba Shanas.
Kamar Se Khainch Le Sabir Ki Jan Be Waswaas.
Kaha Malak Ne Tarap Kar Ba Dard-o-Hasrat-o-Yaas.
Kamar Tu Toot Gayi Jab Se Mar Gaye Abbas.
Nida Yeh Aayi Ke Chehray Ka Haal Dekha Hai.
Kaha Keh Khon Se Asghar Ke Lal Dekha Hai.
Yeh Guftgu Thi Keh Murjha Gaya Rasool Ka Phool.
Falak Se Aa Gaye Rooh Al Ameen Hazen-o-Malool.
Kaha Pukar Ke Munh Dhanp Lo Bara-e-Batool.
Pisar Ki Lash Pe Kholein Gi Baal Bint-e-Rasool.
Sada Yeh Sun Ke Ossi Simt Chal Parin Zainab.
Tarap Ke Khaimay Se Bahir Nikal Parin Zainab.
:NASIM: Udhar Se Tu Qudsi Ki Woh Sada Aayi.
Idhar Tarapti Hoi Bint-e-Murtaza Aayi.
Qareeb-e-Lash Jo Khwahar Basad Boka Aayi.
Akhi Ke Halq-e-Buredah Se Yeh Sada Aayi.
Bazurg Ab Koi Baqi Na Khurd Hai Zainab.
Nabi Ka Deen Tumhare Sapurd Hai Zainab.
Poet: :Nasim Amrohvi:
Soz Khuwan: :Saleem Mastan Wa Bradran:
Noha Volum: :Saleem Mastan 2024-25:
#ImtehaneHussain
#MarsiyaLyrics
#tajpoint
New Marsiya Imtehane Hussain AS Saleem Mastan
Musaddas Imtehane Hussain AS Saleem Mastan o Bradran
Imtehane Hussain AS Saleem Mastan