Gham e Sheh Hum Manaein Gaey Qamar Abbas Naqvi Lyrics Urdu 2024
Gham e Sheh Hum Manaein Gaey Qamar Abbas Naqvi
Muharram Aa Gaya Hai Phir Azza Khane Sajaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Muqadar Se Miley Phir Din Yeh Roein Gay Rulaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Azadaro Hain Farsh-e-Gham Pe Zahra Intezari Mein.
Keh Pursa Deney Kaun Aata Hai Unn Ko Pursa Dari Mein.
Unhein Yeh Aas Hai Keh Sare Matam Daar Aaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Alamdar-e-Hussaini Ki Wafadari Ka Batla Kar.
Jaloson Mein Shabeeh e Parcham-e-Abbas Lehra Kar.
Alam Mazloom Ki Mazlomiyat Ka Hum Uthaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Madine Mein Rakhi Thi Zulm Ki Bunyad Kis Kis Ne.
Kiye They Syedon Ke Ghar Kahan Barbad Kis Kis Ne.
Jahan Tak Sans Hai Seene Mein Unn Sab Ka Bataein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Jo Dil Ka Naram Ho Ga Hami e Mazloom Ho Ga Jo.
Nabi Ki Aal Ke Dukh Dard Sun Kar Ro Paray Ga Woh.
Sitam Kya Kya Hoye Shabbir Par Jab Hum Sunaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Azadari Ki Khatir Sar Bhi Kattay Hoon Tu Kat Jaein.
Hamarey Jism Chahe Kitne Hi Tukron Mein Bat Jaein.
Qadam Uthtey Rahein Gay Karbala Hum Phir Bhi Jaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Bara Roye They Asghar Ka Lahu Chehray Pe Sheh Mal Kar.
Chala Tha Pani Ke Badlay Sitam Ka Teer Asghar Par.
Bayad e Pyas e Asghar Hum Sabeelein Bhi Lagaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Ghari Ashor Mein Sham-e-Ghareebaan Ki Jab Aaye Gi.
Azadaron Ko Yaad-e-Hazrat-e-Zainab Rulaye Gi.
Saron Ko Peet Kar Sab Ashk Ghurbat Par Bahaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Hamara Maqsad-e-Khilqat Hai Kya Hum Ne Batana Hai.
Kiya Hai Hazrat-e-Zahra Se Jo Wadah Nibhana Hai.
Bhalay Kuch Ho :ASAD: Farsh-e-Azza Tu Hum Bichaein Gay.
Gham-e-Sheh Hum Manaein Gay.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Qamar Abbas Naqvi:
Noha Volume: :Qamar Abbas Naqvi 2024-25:
Composition: :Own Rizvi:
#GhameShehHumManaeinGaey
#NohayLyrics
#tajpoint