Hai Arbaeen e Shah e Shaheedan e Karbala Syed Anees Abbas Qamar Lyrics In Urdu 2023
ہے اربعینِ شاہِؑ شہیدانِ کربلا
Pohanchay Hain Turbaton Pe Aseeran e Karbala.
Matam Se Kanpta Hai Bayaban e Karbala.
Zainab Pukari Goor e Ghareeban e Karbala.
Lashay Pe Kar Na Payi Thi Matam Hussain Ka.
Aayi Hoon Karne Sham Se Chehlum Hussain Ka.
Bhaiyya Salam Zainab-e-Dilgeer Ka Salam.
Ujari Hoi Batool Ki Tasveer Ka Salam.
Aayi Hai Chut Ke Qaid Se Humsheer Ka Salam.
Shano Pe Hai Jo Zulm Ki Tehreer Ka Salam.
Ik Saal Qaid Katay Howon Ka Salam Hai.
Ab Tak Hamari Aankhon Mein Zindan-e-Sham Hai.
Kis Tarha Saal Hum Ne Guzara Hai Kya Kahin.
Reh Reh Ke Hum Ko Logon Ne Mara Hai Kya Kahin.
Zakhmi Badan Tamam Hamara Hai Kya Kahin.
Par Dil Pe Zakhm Ab Bhi Tumhara Hai Kya Kahin.
Zindan Mein Yeh Gham Tha Koi Gham Na Kar Sakay.
Hum Saal Bhar Shaheedon Ka Matam Na Kar Sakay.
Darya Pe Jab Se So Gaya Abbas-e-Bawafa.
Sab Maan Totay Hum Ne Uthai Har Ik Jafa.
Yeh Dagh Dil Pe Our Qayamat Gira Gaya.
Abbas Hai Kahan Pe Yeh Kehte They Ashqiya.
Ghazi Ko Jab Sakina Bulati Thi Bar Bar.
Rukhsar Par Tamachay Woh Khati Thi Bar Bar.
Har Zulm Se Na Oss Ko Main Bhayya Bacha Saki.
Pyasi Rahi Bhi, Pyas Na Oss Ki Bhuja Saki.
Sonpi Thi Aap Ne Jo Amanat Na La Saki.
Afsoos Na Sakina Reha Ho Ke Aa Saki.
Kya Kya Bataon Kitne Ghamo Ki Satayi Hoon.
Zindaan Mein Oss Ki Qabar Bana Kar Main Aayi Hoon.
Seh Roz Karbala Mein Hoi Majlis-e-Azza.
Sehra Mein Shoor-o-Shain Ki Matam Ki Thi Sada.
Qabron Pe Apne Pyaron Ki Matam Jo Kar Liya.
Abid Ne Aa Ke Zainab-e-Muztar Se Yeh Kaha.
Uthiye Phophi Keh Ashk Wahan Bhi Bahaein Gay.
Pyason Ko Rotay Rotay Madine Mein Jaein Gay.
Kyunkar Ghareeb Jaye Gi Pardais Se Watan.
Mati Mein Mil Gaye Sabhi Zahra Ke Gulbadan.
Iss Daag-e-Karbalai Se Hai Zindagi Kathin.
Aye Kash Keh Yahan Pe Hi Mar Jaye Yeh Behan.
Ja Kar Watan Mein Haal Sunaon Gi Kis Tarha.
Sughra Se Apne Zakhm Chupaon Gi Kis Tarha.
Hai Arbaeen Aye Mere Shabeer Marhaba.
Pohanchi Hai Qabar Par Teri Humsheer Marhaba.
Hogi Yahan Pe Rozon Ki Tameer Marhaba.
Uth Kar Kaho Ke Zainab-e-Dilgeer Marhaba.
Mashoor Kar Ke Teri Shahadat Ko Aayi Hoon.
Baba Ki Main Bacha Ke Wilayat Ko Aayi Hoon.
Matam Karo Keh Fasl-e-Azza Ahtatam Hai.
Sheh Ki Azza Nahi Hai Tu Jeena Haram Hai.
Hum Hain :HASAN: Anees Gham-e-Na Tamam Hai.
Sansein Rawaan Hain Arzoye Inteqam Hai.
Kaisay Dilon Ke Chain Ko Hum Alwida Kahin.
Kaisay Gham-e-Hussain Ko Hum Alwida Kahin.
Poet: :Hasan Kazmi:
Noha Khuwan: :Syed Anees Abbas Qamar:
Noha Volume: :Syed Anees Abbas Qamar 2023-24:
#HaiArbaeeneShah
#MarsiyaLyrics
#tajpoint