So Gayi Haye Sakina Muhammad Raza Mungla Lyrics Urdu 2024
So Gayi Haye Sakina Muhammad Raza Mungla
So Gayi Haye Sakina Khak-e-Zindaan Orh Kar.
Qaid Khane Mein Ossay Jab Mil Gaya Baba Ka Sar.
Gardan-e-Nazuk Mein Ab Tak Ik Nishaan Rassi Ka Hai.
Our Kano Ke Lahu Se Parahan Hai Khoon Mein Tar.
Neel Hain Rukhsar Par Our Pasliyon Mein Dard Tha.
Bain Karti Thi Jo Apne Baap Ka Sar Chom Kar.
Hai Sitamgar Ke Tamachon Se Bohat Sehmi Hoi.
Ho Gayi Rukhsat Jahan Se Hath Hain Rukhsar Par.
Sirf Chehra Hi Nahi, Hain Kan Bhi Zakhmi Bohat.
Oss Tarha Be Dardi Se Cheeney Gaye Oss Ke Gohar.
Zulm Ki Had Thi Kaneezi Mein Ossay Manga Gaya.
Our Be Pardah Howa Bazar Se Oss Ka Guzar.
Uth Na Jaye Giriye Ki Aawaz Se Bachi Meri.
Thak Ke Soyi Hai Abhi Yeh Kar Ke Meelon Ka Safar.
Ik Yeh Gham Ghaibat Mein Mehdi Ko Rulata Hai :AIMAAD:.
Aaj Bhi Pyasi Sakina So Rahi Hai Khak Par.
Poet: :Syed Aimaad Naqvi:
Noha Khuwan: :Muhammad Raza Mungla:
Noha Volume: :Muhammad Raza Mungla 2024-25:
Composition: :Raza Shah:
#SoGayiHayeSakina
#NohayLyrics
#tajpoint