Dewar o Dar Ke Darmiyan Qamar Baltistani 2024
Dewar o Dar Ke Darmiyan Qamar Baltistani.
Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan Zakhmi Hai Fatima.
Aao Ali Madad Ko Bulati Hai Fatima.
Choma Jisay Rasool Ne Woh Dar Jala Diya.
Kya Ummat-e-Rasool Ko Aayi Nahi Haya.
Yeh Baat Soch Soch Ke Roti Hai Fatima.
Haan Woh Keh Jis Ko Rehmat-e-Alim Kaha Gaya.
Jis Ne Kabhi Kissi Pe Sitam Hi Nahi Kiya.
Logo Ossi Rasool Ki Beti Hai Fatima.
Bazu Mein Iss Ke Keel Lagi Sar Se Khoon Rawaan.
Pehlu Shikasta Ho Gaya, Tooti Hain Pasliyaan.
Sanbhal Na Sakay, Yehi Soch Ke, Ali Ro Deiye.
Sansein Na Jane Kis Tarha Leti Hai Fatima.
Chehray Ko Apne Rakhti Hai Ghar Mein Bhi Dhanp Ke.
Mara Hai Jab Se Iss Ko Tamacha Laeen Ne.
Ab Pardah Betiyon Se Bhi Karti Hai Fatima.
Ab Kaun Mere Baad Hai Bachoon Ki Mere Aas.
Haye Mere Hussain Ko Lagti Bohat Hai Pyas.
Zakhmo Se Barh Ke Iss Pe Tarapti Hai Fatima.
Roney Pe Shahzadi Ke Pehra Laga Diya.
Apna Watan Hi Jis Ghari Pardais Ho Gaya.
Matlab Yateem Hone Ka Samjhi Hai Fatima.
Ab Tak Sitam Ruka Nahi :AZLAN AZMI:.
Turbat Pe Haye Zahra Ki Saya Nahi Koi.
Mehdi Tumhara Rasta Takti Hai Fatima.
Poet: :Azlan Azmi:
Noha Khuwan: :Qamar Baltistani:
Noha Volum: :Qamar Baltistani 2024-25:
Composition: :Syed Jaan Ali Shah:
#DewaroDarKeDarmiyan
#NohayLyrics
#tajpoint