Mout Mujh Ko Darane Chali Hai Asad Abbas Lyrics Urdu 2025
Mout Mujh Ko Darane Chali Hai Asad Abbas.
Maut Mujh Ko Darane Chali Hai, Haan Magar Oss Mein Himmat Nahi Hai.
Main Tu Masroof-e-Zikar-e-Ali Hoon, Mujh Ko Marne Ki Fursat Nahi Hai.
Mere Ghazi Ka Chehra Bana Kar.
Bola Dunya Se Yeh Rab-e-Akbar.
Aaj Ke Baad Mere Ali Ko.
Aainay Ki Zarorat Nahi Hai.
Tera Chehra Hi Wajh e Khuda Hai.
Yeh Hadees-e-Rasool-e-Khuda Hai.
Ya Ali Teri Sorat Ke Jaisi.
Khalq Mein Koi Sorat Nahi Hai.
Mustafa Hoon Keh Woh Murtaza Hoon.
Hoon Woh Hasnain Ya Fatima Hoon.
Ik Bhikari Ko Mayoos Karna.
Iss Gharanay Ki Adat Nahi Hai.
Bijliyon Ko Agar Hosla Ho.
Shoq Se Woh Girey Aashiyaan Par.
Hain Mohafiz Imam-e-Zamana.
Iss Se Barh Kar Hifazat Nahi Hai.
Ab Farishton Agar Dam Ho Bolo.
Qabar Mein Apne Honton Ko Kholo.
Khud Ali Aa Gaye Hain Madad Ko.
Ab Kissi Ki Zarorat Nahi Hai.
Haan Yeh :KARRAR: Qaul-e-Nabi Hai.
Oss Ke Dil Mein Hi Bughz-e-Ali Hai.
Jis Ki Maa Mein Sharafat Nahi Hai.
Pak Jis Ki Wiladat Nahi Hai.
Poet: :Karrar Maulai:
Manqabat Khuwan: :Asad Abbas:
Manqabat Volume: :Asad Abbas 2024-25:
#MoutMujhKo
#ManqabatLyrics
#tajpoint