Aik Salman Hai Syed Mohammad Shah Lyrics Urdu 2025
Aik Salman Hai Syed Mohammad Shah.
Chodah Masoomo Ka Jis Ko Irfan Hai, Aik Salman Hai.
Daswein Darjay Pe Our Kis Ka Eman Hai, Aik Salman Hai.
Jis Ki Sachayi Par Aasmaan Ta Zameen Sare Hairat Mein Hain.
Woh Abuzar Bhi Khud Jis Pe Hairan Hai Aik Salman Hai.
Woh They Muhtaj Angushtari Ke, Magar Yeh Rahe Be Niyaz.
Farq Khud Dekhiye Ik Suleman Hai Aik Salman Hai.
Our Hai Kaun Jis Se Main Batein Karon, Dil Ko Halka Karon.
Chaar So, Jo Bhi Hai Woh Musalman Hai, Aik Salman Hai.
Aisay Khud Ko Na Uljha, Zara Ja Ke Oss Shaks Se Baat Kar.
Tu Nuseri Bhala Kyun Pareshan Hai, Aik Salman Hai.
Marifat Ke Liye Teen Chezon Ko Choray Gaye Hain Nabi.
Aik Hai Ahlebait, Aik Quran Hai, Aik Salman Hai.
Aik ALLAH Oss Ki Haqeeqat Samjhna Tu Mumkin Nahi.
Yeh Bhi Kafi Hai Gar Tera Eman Hai Aik Salman Hai.
Yeh Wazeefa Parho Our Bachalo Aqeeday Ko Tum Shirk Se.
Aik Salman Hai, Aik Salman Hai, Aik Salman Hai.
Main Mazameen Midhat Ke Leta Hoon :HAIDER: Ossi Zaat Se.
So Mere Wastay Madah Aasan Hai, Aik Salman Hai.
Poet: :Haider Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Manqabat Volume: :Syed Mohammad Shah 2024-25:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#AikSalmanHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint