Dar e Abbas Par Rizwan Ali Zaidi Lyrics Urdu 2025
Dar e Abbas Par Rizwan Ali Zaidi Lyrics
Aaye Istaqbal Ko Sarwar Dar-e-Abbas Par.
Pohanchay Jab Abbas Ke Nokar Dar-e-Abbas Par.
Ismat-e-Abbas Ki Azmat Bataney Ke Liye.
Aa Gaya Zahra Ka Sara Ghar Dar-e-Abbas Par.
Ain Mumkin Hai Saloni Ki Sada Aane Lagay.
Rakha Ho Gar Kofay Ka Mimber Dar-e-Abbas Par.
Ikhteyar-e-Hazrat-e-Ghazi Ishara Gar Karey.
Aaye Ga Kaba Abhi Chal Kar Dar-e-Abbas Par.
Dekh Kar Romal-e-Zehra Hur Se Zohrah Ne Kaha.
Mujh Se Bhi Aounchay Ho Tum Jhuk Kar Dar-e-Abbas Par.
Woh Kaf-e-Abbas Par Pehle Salami Detey Hain.
Phir Farishtay Kholte Hain Par Dar-e-Abbas Par.
Jhoom Kar Suntay Hain Haider Marka Siffen Ka.
Parhtay Hain Jab Malik-e-Ashtar Dar-e-Abbas Par.
Khoob Phir Dono Ne Ki Abbas Ki Madah-o-Sana.
Mil Gaye Buzar Ko Jab Qanbar Dar-e-Abbas Par.
Khud Bakhud Oncha Mera Sar Arsh Tak Hota Gaya.
Jab Mere Betay Ne Rakha Sar Dar-e-Abbas Par.
Sorah-e-Kausar Ka Pehra Hai :ASAD: Charon Taraf.
Aa Nahi Sakta Koi Abtar Dar-e-Abbas Par.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Ali Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Ali Zaidi 2024-25:
Composition: :Hasnain Mehdi:
#DareAbbasPar
#ManqabatLyrics
#tajpoint