Bichar Jayengy Baba Zainab Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2025
Bichar Jayengy Baba Zainab Wajhi Hasan Zaidi.
Shab-e-Ikeeswin Ramzan Woh Ghurbat Ki Ghari.
Ghar Mein Zahra Ke Udasi Thi Ali They Zakhmi.
Sun Ke Baba Ki Sada Pas Jab Aayi Beti.
Aakhri Sansoon Mein Kehne Lagay Ro Ro Ke Ali.
Aaj Tum Sab Se Bichar Jaein Gay Baba Zainab.
Mujh Ko Lainay Ke Liye Aa Gayin Zahra, Zainab.
Haye Kuch Dair Mein Ruk Jaein Gi Sansein Meri.
Band Ho Jaein Gi Yeh Khoon Bhari Aankhein Meri.
Aakhri Raat Hai Bas Sath Hamara Zainab.
Jane Hasnain Ne Kis Tarha Se Dekha Manzar.
Itni Shiddat Se Woh Talwar Chali Thi Mujh Par.
Ab Bhi Jari Hai Lahu Sar Hai Shikasta Zainab.
Kyun Dua Mang Rahi Hai Tu Mere Jeene Ki.
Mar Gaya Tha Tera Baba Tu Ossi Din Bibi.
Jab Laga Fatima Zahra Ko Tamacha Zainab.
Keh Do Kofay Ke Yateemo Se Keh Wapis Jaein.
Ab Na Mere Liye Woh Doodh Ke Pyalay Laein.
Zehar Ne Kar Diya Mushkil Mera Jeena Zainab.
Sakht Mushkil Mein Mere Sath Guzarey Do Din.
Uth Ke Ik Bar Galay Tum Ko Lagata Lekin.
Uthna Chahon Bhi Tu Utha Nahi Jata Zainab.
Ronaqein Betiyaan Hoti Hain Janazay Ke Liye.
Tum Ho Kulsoom-o-Ruqaiya Hain Yahin Sath Mere.
Shan Se Uthay Ga Ab Mera Janaza Zainab.
Dekha Ghazi Ko Tu Kehne Lagay Zainab Se Ali.
Jab Mere Baad Tumhein Yaad Sataye Meri.
Dekh Lena Mere Abbas Ka Chehra Zainab.
Aik Din Tum Issi Kofay Mein Bano Gi Qaidi.
Be Rida Aao Gi Hathoon Mein Rasan Bhi Hogi.
Aa Ja Le Loon Tere Shano Ka Main Bosa Zainab.
Kitni Beti Se Muhabbat Thi Aye :ZEESHAN:-o-:WAJIH:.
Yeh Judai Bhi Qayamat Thi Aye :ZEESHAN:-o-:WAJIH:.
Aakhri Hichki Jab Aayi Tu Pukara Zainab.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volum: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2024-25:
#BicharJayengy
#NohayLyrics
#tajpoint