Zamanay Ayenge Zainab Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2025

Zamanay Ayenge Zainab Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2025

Zamanay Ayenge Zainab Mir Hasan Mir.

Biyaan Kaisay Ho Woh Kofay Ka Manzar.
Yeh Kehte Hoon Gay Jab Beti Se Haider.

Hamarey Baad Aisay Bhi Zamane Aaein Gay Zainab.
Issi Kofay Mein Pathar Tum Ko Marey Jaein Gay Zainab.

Galay Unn Ko Laga Kar Pyar Karna Maa Ki Janib Se.
Humein Dafna Ke Jab Hasnain Wapis Aaein Gay Zainab.

Tumhari Maa Ko Bhi Darbar Mein Logon Ne Bulwaya.
Tumhein Bhi Be Rida Darbar Mein Bulwaein Gay Zainab.

Yeh Kofa Hai Yahan Ke Logon Ki Nazrein Badalti Hain.
Abhi Jo Sheer Laye Hain Woh Pathar Laein Gay Zainab.

Ali Ne Ghar Mein Yeh Paigham Bhajwaya Hai Masjid Se.
Na Tum Ghar Se Nikalna Warna Hum Mar Jaein Gay Zainab.

Sitam Ho Ga Keh Qabrein Bhi Na Hoon Gi Pas Qabron Ke.
Madina, Karbala, Kofa Mein Hum Bat Jaein Gay Zainab.

Tamachay Qatal-e-Mohsin Our Woh Darbar Ki Peshi.
Yeh Sare Dukh Hum Apni Qabar Mein Le Jaein Gay Zainab.

Kaha Hai Hum Ne Kyun Hasnain Ke Hotey Tumhein Zainab.
Yeh Raaz Hum Hashar Ke Maidan Mein Batlaein Gay Zainab.

Na Ghabrana Humein Aawaz Dena Satwein Dar Par.
Tumharey Sath Mein Darbar Hum Bhi Jaein Gay Zainab.

:TAKALLUM: Keh Ke Yeh Beti Se Rukhsat Ho Gaye Maula.
Hum Ab Sham-e-Ghareebaan Tum Se Milney Aaein Gay Zainab.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2024-25:
Composition: :Raza Shah:

#ZamanayAgayeZainab
#NohayLyrics
#tajpoint

Zamanay Ayenge Zainab Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2025 Write Up Poster Image

Zamanay Ayenge Zainab Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2025

Video Link
error: Content is protected !!