Ghazi Khayal Rakhna Syed Mohammad Shah Lyrics Urdu 2025
Ghazi Khayal Rakhna Syed Mohammad Shah.
Jahan Ko Chor Ke Jis Waqt Maula Jane Lagay.
Galay Laga Ke Ali Ne Kaha Yeh Ghazi Se.
Zahra Ki Betiyon Ka Ghazi Khiyal Rakhna.
Ab Tum Ho Mera Saya Ghazi Khiyal Rakhna.
Yeh Ghar Tere Hawalay Yeh Sab Tere Hawalay.
Aye Fatima Ke Betay Zainab Tere Hawalay.
Iss Ka Lutay Na Pardah Ghazi Khiyal Rakhna.
Ghamkhuwar Ko Hamari Aaye Gi Yaad Jab Jab.
Dastar Tujh Ko Meri Pehna Ke Meri Zainab.
Dekhey Gi Tera Chehra Ghazi Khiyal Rakhna.
Aaye Ga Mera Qatil Ghar Mein Hamarey Beta.
Aye Karbala Ke Saqi Sharbat Ossay Pilana.
Talwar Mat Uthana Ghazi Khiyal Rakhna.
Tum Sath Sath Oss Ke Sar Ko Jhuka Ke Rehna.
Shabbir Ko Hamesha Pani Pilatay Rehna.
Bhai Rahe Na Pyasa Ghazi Khiyal Rakhna.
Sadaat Par Yeh Din Hain Matam Ke Our Gham Ke.
Mangein Gi Teri Behnein Iss Eid Par Jo Kaprey.
Dena Libas Kala Ghazi Khiyal Rakhna.
Gehra Hai Zakhm Sar Par Our Pusht Par Hain Chalay.
Jo Dagh Hain Rasan Ke Zainab Na Unn Ko Dekhey.
Aisay Kafan Urhana Ghazi Khiyal Rakhna.
Ashor Ka Woh Manzar Hoga Na Hashar Se Kam.
Shabbir Ke Galay Par Khanjar Chaley Ga Jis Dam.
Aawaz Tum Ko De Ga Ghazi Khiyal Rakhna.
:HAIDER: Yeh Mere Maula Ke Aakhri They Jumlay.
Bhai Behan Hain Zindah Ghazi Tumhare Dam Se.
Sab Se Zyada Apna Ghazi Khiyal Rakhna.
Poet: :Haider Rizvi:
Noha Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammad Shah 2024-25:
Composition: :Syed Mohammad Shah:
#GhaziKhayalRakhna
#NohayLyrics
#tajpoint