Jin Ka Baap Mar Jaye Joan Rizvi Lyrics Urdu 2025
Jin Ka Baap Mar Jaye Joan Rizvi Lyrics
Yateemi Kis Ko Kehte Hain Yeh Unn Se Poch Le Koi Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Yeh Ik Dojay Se Ro Kar Kehti Thi Aoulad Zahra Ki Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Guzar Jaye Padar Tu Aata Hai Yeh Waqt Bachoon Par.
Phir Unn Ke Baap Ke Dushman Satatay Hain Unhein Mil Kar.
Ghamo Mein Hi Guzar Jati Hai Sari Zindagi Unn Ki Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Ali Ke Qatilon Ne Haye Na Ik Martaba Socha.
Ali Ke Baad Iss Pardais Mein Bachoon Ka Ho Ga Kya.
Fiza Kofay Ki Unn Bachoon Ko Kaisay Raas Aaye Gi Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Woh Zahra Hoon Ya Zainab Hoon Ya Kulsom-o-Ruqaiya Hoon.
Woh Kubra Hoon Ya Sughra Hoon Ya Masoma Sakina Hoon.
Bhulai Ja Nahi Sakti Kabhi Bhi Unn Ki Mazlomi Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Janazay Se Juda Kar Paye Na Jab Bhai Behno Ko.
Kafan Mein Baap Ki Sorat Jo Phir Dikhlayi Behno Ko.
Na Jane Kis Tarha Fizza Ne Halat Unn Ki Yeh Dekhi Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Kiya Saya Ali Ne Baap Ban Kar Jin Yateemo Par.
Uthaye Sheer Ke Pyalay Yehi Kehte They Woh Ro Kar.
Karein Woh Bachay Kya Kofay Mein Haye Dosri Bari Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Baroz-e-Eid Aoulad-e-Ali Par Waqt Hai Gham Ka.
Hain Baithay Baap Ke Gham Mein Bicha Kar Farsh Matam Ka.
Unhein Bhi Pursa Deney Aaj Shayad Aaye Ga Koi Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
:ASAD: Bad-e-Ali Kofay Ne Jin Ko Marey They Pathar.
Likhi Thi Kaifiyat Iss Gham Ki Unn Mazloom Chehron Par.
Yateemi Ka Hai Kya Gham Yeh Bata Saktay Hain Woh Qaidi Keh Jin Ka Baap Mar Jaye.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Joan Rizvi:
Noha Volume: :Joan Rizvi 2024-25:
Composition: :Own Rizvi:
#JinKaBaapMarJaye
#NohayLyrics
#tajpoint