Aap Ki Zahra Pe Yeh Kaisay Zamanay Aaye Lyrics 2020

Aap Ki Zahra Pe Yeh Kaisay Zamanay Aaye Lyrics 2020

Aap Ki Zahra Pe Yeh Kaisay Zamanay Aaye.

Dekhiye Loag Mere Ghar Ko Jalanay Aaye.

Jane Soye They Madine Ke Musalman Kahan.
Jalta Dar Dekh Ke Fizza Yehi Karti Thi Fogaan.
Aag Darwazay Ki Koi Tu Bhujaney Aaye.

Pasliyaan Toot Gayin Mujh Pe Gira Darwaza.
Our Chalta Howa Darwazay Pe Zalim Guzra.
Zakhm Pehlu Pe Mere Kitne Na Jane Aaye.

Taziyana Mere Bazu Pe Laga Jab Baba.
Aa Gayi Yaad Madine Mein Mujhe Karb-o-Bala.
Yaad Abbas Ke Kattay Hoye Shaney Aaye.

Jab Se Bandhi Gayi Haider Ke Galay Mein Rasi.
Dekh Kar Zainab-o-Kulsoom Ko Kehte Hain Yehi.
Kash Tum Ko Koi Qaidi Na Bananey Aaye.

Ghamzada Mere Gharanay Ko Dilasa Deney.
Koi Mohsin Ka Mujhe Aaya Na Pursa Deney.
Loag Aaye Bhi Tu Bas Dil Ko Dukhanay Aaye.

Main Ne Maula Ko Faqat Yeh Hi Wasiyat Ki Hai.
Jin Musalmano Ne Mujh Ko Yeh Aziyat Di Hai.
Koi Unn Mein Se Janaza Na Uthane Aaye.

Ashk Iss Baat Pe Aankhon Se Bahey Jate Hain.
Dekh Aayi Hoon Main Darbar Kisay Kehte Hain.
Yaad Zainab Ki Aseeri Ke Zamane Aaye.

Baap Ki Qabar Pe :AKBAR: Woh Yeh Keh Kar Roi.
Meri Ghurbat Ke Mera Bhai Nahi Hai Koi.
Kaun Hai Sath Jo Zahra Ka Nibhanay Aaye.

Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwaan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Composition: :Raza Shah:

#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint

Aap Ki Zahra Pe Yeh Kaisay Zamanay Aaye Lyrics 2020 Write Up Poster Image

Aap Ki Zahra Pe Yeh Kaisay Zamanay Aaye Lyrics 2020

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!