Aaj Meri Maa Chali Gai Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics Urdu 2026
Aaj Meri Maa Chali Gai Syed Raza Abbas Zaidi.
Jab Aaye Qabar Mein Dafna Ke Fatima Ko Ali.
Kaha Hussain Se Aaein Gi Ab Na Amma Kabhi.
Tumhein Pilaon Ga Beta Main Aaj Se Pani.
Yeh Pehli Raat Hai Yaad Aaye Gi Bohat Maa Ki.
Tumhari Fikar Mein Hogi Lehad Mein Maa Be Chain.
Subha Se Jagay Ho So Jao Thori Dair Hussain.
Barh Ali Ne Galay Jab Lagaya.
Yeh Keh Ke Shabbir Ne Sar Uthaya.
Aaj Meri Maa Chali Gayi.
Baba Mujhe Yeh Bataein.
Kyun Chor Jati Hain Maein.
Seene Se Apne Laga Kar.
Ab Kaun De Ga Duaein.
Nazron Se Jata Nahi Maa Ka Chehra.
Kaisay Mujhe Neend Aaye Gi Baba.
Rota Hoon Jab Se Suna Hai.
Maa Ko Tamacha Laga Hai.
Aoulad Ke Samne Kya.
Maa Ko Koi Marta Hai.
Yeh Waqt Baba Kissi Par Na Aaye.
Maa Apne Bachoon Se Chehra Chupaye.
Darwaza Maa Par Gira Kar.
Kehne Laga Ik Sitamgar.
Aaj Itna Zahra Ko Maro.
Uth Na Sakay Zindagi Bhar.
Hansta Raha Mar Kar Taziyane.
Aaya Nahi Maa Ko Koi Bachaney.
Bazu Hi Jab Toot Jaye.
Kaisay Koi Hath Uthaye.
Betay Ko Iss Haal Mein Maa.
Seene Se Kaisay Lagaye.
Phir Bhi Mere Naaz Uthati Thin Amma.
Takleef Mein Muskurati Thin Amma.
Maa Mar Gayi Hai Pata Tha.
Par Dil Nahi Manta Tha.
Our Aap Ne Mere Baba.
Jab Ghusal Unn Ko Diya Tha.
Youn Cheekh Kar Aap Roye They Baba.
Oss Waqt Mujh Ko Yaqeen Aa Gaya Tha.
Haye Main Darbar Se Ghar.
Aaya Tha Jab Maa Ko Le Kar.
Rastay Mein Amma Ke Paon.
Khat Khainchtay They Zameen Par.
Aisay Qadam Woh Uthati Thin Baba.
Chalti Thin Phir Baith Jati Thin Baba.
Mara Tha Zalim Ne Baba.
Jis Hath Par Taziyana.
Bholon Ga Kaisay Main Maa Ka.
Woh Hath Mujh Se Chupana.
Woh Neel Meri Nazar Mein Tab Aaya.
Maa Ne Kafan Khol Kar Jab Bulaya.
Jab Door Apne Watan Se.
Mehroom Ho Kar Kafan Se.
Lasha Para Hoga Mera.
Lut Jaye Ga Sab Badan Se.
Jaon Ga Ik Roz Karb-o-Bala Main.
Lekin Ghareeb Aaj Se Ho Gaya Main.
Seene Se Apne Laga Kar.
Oss Dam Bohat Roye Haider.
Haye :RAZA: Our :ZEESHAN:.
Jab Bolay Shabbir Ro Kar.
Maa Mar Gayi Ab Jiyon Ga Main Kaisay.
Aye Kash Mar Jata Main Unn Se Pehle.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2025-26:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#AajMeriMaaChaliGai
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha 2026 Aaj Meri Maa Chali Gai Syed Raza Abbas Zaidi
Ayyam e Fatamiya 2026 Aaj Meri Maa Chali Gai Syed Raza Abbas Zaidi
