Sher e Khuda Par Chal Gai Talwar Syed Irfan Haider Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Sher e Khuda Par Chal Gai Talwar Syed Irfan Haider Lyrics In Urdu and Roman Urdu

شیرِ خُدا پر چل گئی تلوار

Aye Mere Maula Mein Tera Faqeer Hoon.
Haye Ali Haye Ali Haye Ali Haye Ali.
Arsh Se Aayi Sada Sajday Mein Mara Gaya.
Kul Ka Madadgar Ghazab Ho Gaya.
Ghar Mein Khuda Ke Shair-e-Khuda Par Chal Gayi Talwar Ghazab Ho Gaya.
Aao Shahadat Suno Natiq-e-Quran Ki.
Haye Woh Uneeswin Mah-e-Ramzan Ki.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Zarb Kuch Aisi Lagi Beh Gaya Khon-e-Ali.
Kat Gayi Dastar Ghazab Ho Gaya.
Shabar-o-Shabeer Ne Chom Ke Baba Ka Sar.
Rotay Hoye Yeh Kaha Aaiye Chalte Hain Ghar.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Beton Ko Rotay Hoye Dekh Ke Roney Lagay.
Haider-e-Karrar Ghazab Ho Gaya.
Zainab-o-Kulsoom Ko Jaisay Hi Aaya Nazar.
Khon Mein Doba Howa Fatah-e-Khaybar Ka Sar.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Betiyaan Dil Tham Kar Girti Rahein Khak Par.
Haye Kayi Bar Ghazab Ho Gaya.
Hum Se Bichra Hai Maula Hamara.
Roza Daro Qayamat Ke Din Hain.
Khak Urata Hai Zahra Ka Kunba.
Roza Daro Qayamat Ke Din Hain.
Rooh Tarapney Lagi Madar-e-Hasnain Ki.
Jab Yeh Sadaein Sunein Betiyon Ke Bain Ki.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Aa Gayi Bint-e-Nabi Kofay Mein Roti Hoi.
Ban Ke Azadar Ghazab Ho Gaya.
Ro Diye Abbas Bhi Qadmo Se Liptay Hoye.
Aa Gayin Umm Ul-Baneen Noha Yeh Kartay Hoye.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Aaye Yateemi Ke Din Tarpay Gi Baba Ke Bin.
Itrat-e-Athar Ghazab Ho Gaya.
Aik Riwayat Mein Hai Syed-e-Sajjad Se.
Bolay Yeh Maula Ali Dunya Se Jate Hoye.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Tujh Pe Fida Ho Ali Dekhein Gi Aankhein Teri.
Sham Ka Bazar Ghazab Ho Gaya.
Ghusal-o-Kafan Ho Chuka Our Janaza Utha.
Khuld Se Rotay Hoye Aaye Rasool-e-Khuda.
Haye Ali Haye Ali Wawela Wawela.
Hashar Ka Hangam Tha Kofay Mein Kuhram Tha.
Azmat-e-Kibriya Ali Hasrat-e-Anbiya Ali.
Izzat-e-Aouliya Ali Syed-e-Syeda Ali.
Kul Kafa Hal Atta Innama La Fata Illa Ali.
Aye Mere Mushkil Kusha Hai Yeh Labon Par Dua.
Aap Ke Qadmo Mein Rahein :AKHTAR:-o-:IRFAN-E-: Azza.
Qatal Kiya Be Jurm-o-Khata Ik Roza Daar.
Ibn-e-Muljim Tujh Pe Lanat Beshumar.
Poet: :Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al Arabi:
Noha Khuwan: :Syed Irfan Haider:
Noha Volume: :Syed Irfan Haider 2020-21:
Composition: :Raza Shah:
#ShereKhudaPar
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

error: Content is protected !!