Deewar o Dar Key Darmiyan Syed Ali Mehdi.
Keh Rahi Hain Fatima Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Maskh Pehlu Ho Gaya Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Aaiye Fizza Yahan Jaldi Meri Imdad Ko.
Ghut Raha Hai Dam Mera Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Ro Ke Kehtin Thin Mere Mushkil Kusha Aa Jaiye.
Aap Ki Hai Syeda Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Yaad Kar Ke Apne Baba Ko Sada Deti Rahein.
Haal Tu Dekhein Mera Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Rab Ne Jo Mairaj Par Tohfa Diya Tha Ya Nabi.
Parah Parah Ho Gaya Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Kalma Goyon Ne Janab-e-Fatima Ki Shakal Mein.
Deen Zakhmi Kar Diya Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Pasliyon Mein Garh Gayin Hain Garam Mekhein Ya Ali.
Qatal Mohsin Ho Gaya Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Aye Khuda Teri Kaneez-e-Khas Yani Fatima.
Parh Rahi Hai Marsiya Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Saaf Jab Aanso Kiye :YASIR RAZA: Aaya Nazar.
Aik Maqtal BaN Gaya Dewar-o-Dar Ke Darmiyaan.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Syed Ali Mehdi:
Noha Volume: :Syed Ali Mehdi 2026-27:
Composition: :Yasir Raza Yasir:
#DeewaroDarKey
#NohayLyrics
#tajpoint
Deewar o Dar Key Darmiyan Syed Ali Mehdi Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
