Fatima Ka Janaza Mohammed Abbas Karim.
Haider Se Fatima Ka Janaza Nahi Utha.
Khaybar Shikan Ke Dil Se Yeh Sadma Nahi Utha.
Ik Cheekh Mar Kar Yehi Kehte They Murtaza.
Aisa Laga Hai Hath Pe Durrah Laeen Ka.
Pehlu Se Dast-e-Fatima Zahra Nahi Utha.
Gonji Nabi Ke Shehar Mein Gham Ki Azaan Magar.
Uthta Raha Batool Ke Ghar Se Dhowaan Magar.
Afsoos Koi Ahl-e-Madina Nahi Utha.
Baithay They Ummati Sabhi Darbar-e-Aam Mein.
Afsoos Syeda Ke Magar Ayhteram Mein.
Koi Nabi Ka Chahney Wala Nahi Utha.
Haye Ali Zameen Pe Thara Ke Gir Paray.
Pehlu Ka Zakhm Dekha Tu Gash Kha Ke Gir Paray.
Phir Kitni Dair Tak Mera Maula Nahi Utha.
Youn Qabar-e-Syeda Ki Chupatay They Murtaza.
Chalees Qabrein Tanha Banatay They Murtaza.
Ik Ik Lehad Se Baba Hasan Ka Nahi Utha.
Haq-e-Namaz Ko Kabhi Pora Kiye Beghair.
Zahra Ke Qatilon Pe Tabarah Kiye Beghair.
Hargiz Bhi Murtaza Ka Musalla Nahi Utha.
Ik Gham Dil-e-Ali Mein Rahe Ga Yeh Umar Bhar.
Dekha Unhein Baqaiya Mein Logon Ne Raat Bhar.
Deney Par Unn Ko Koi Bhi Pursa Nahi Utha.
:MUKHTAR: Woh Ali Ka Jo Ik Koh-e-Zabt Tha.
Daman Kabhi Bhi Chora Nahi Jis Ne Sabar Ka.
Bar Iss Se Bhi Batool Ke Gham Ka Nahi Utha.
Poet: :Ali Mukhtar Zaidi:
Noha Khuwaan: :Mohammed Abbas Karim:
Noha Volume: :Mohammed Abbas Karim 2026-27:
Composition: :Own Rizvi:
#FatimaKaJanaza
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha 2026 Fatima Ka Janaza Mohammed Abbas Karim Lyrics In Urd
Fatima Ka Janaza Mohammed Abbas Karim Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
