ٹ کریں -->

Zakhmi Hai Bibi Zehra Hammad Nagri Lyrics In Urdu 2026

Zakhmi Hai Bibi Zehra Hammad Nagri

Zakhmi Hai BiBi Zahra Sun Lo Shah-e-Madina.
Ummat Ne Itna Mara Sun Lo Shah-e-Madina.

Zakhmo Se Choor Hoon Main Kya Kya Tumhein Bataon.
Mohsin Guzar Chuka Hai Kya Dard Ab Chupaon.
Pehlu Bhi Hai Shikasta Sun Lo Shah-e-Madina.

-->

Sun Lo Yeh Gham Hamara Tab Se Yeh Dil Phata Hai.
Jab Se Hasan Ke Aagay Durrah Mujhe Laga Hai.
Zakhmi Bohat Hai Chehra Sun Lo Shah-e-Madina.

Baba Teri Wasiyat! Yeh Mantay Nahi They.
Kursi Nasheen Sare Zahra Pe Hans Rahe They.
Tanha Khari Thi Zahra Sun Lo Shah-e-Madina.

Aisa Sitam Bhi Hoga Socha Nahi Tha Baba.
Qunfuz Ne Mere Rukh Pe Aisa Tamacha Mara.
Mushkil Hai Mera Jeena Sun Lo Shah-e-Madina.

Tehreer Teri Tukray Ummat Ne Kar Ke Phainki.
Beton Ki Bhi Gawahi Ummat Teri Na Mani.
Dil Ho Gaya Hai Parah Sun Lo Shah-e-Madina.

Kaisa Sitam Howa Hai? Haq Mangna Para Hai.
Zalim Ne Mujh Ko Baba Jhota Bhi Keh Diya Hai.
Haye Main Umm-e-Abeeha Sun Lo Shah-e-Madina.

Rista Hai Khoon Tumhara Zahra Ki Pasliyon Se.
Kya Baap Ke Bhi Badlay Letey Hain Betiyon Se.
Pehlu Pe Dar Giraya Sun Lo Shah-e-Madina.

Neel Aa Gaya Hai Rukh Par Kis Tarha Yeh Chupaon.
Haider Ke Samne Main Ab Kis Tarha Se Jaon.
Zalim Ne Aisay Mara Sun Lo Shah-e-Madina.

Baba Rasan Ali Ki Gardan Mein Bandh Di Hai.
Shair-e-Khuda Hai Qaidi Ummat Yeh Hans Rahi Hai.
Bholay Gi Kaisay Zahra Sun Lo Shah-e-Madina.

Le Jao Sath Baba Chup Chup Ke Ro Rahi Hoon.
Hai Dard Mujh Ko Itna Faryad Kar Rahi Hoon.
Kanpa Hai Mera Hujra Sun Lo Shah-e-Madina.

Yeh Dastaan Sitam Ki :DANISH: Na Mit Saki Hai.
Turbat Mein Aaj Bhi Woh :HAMMAD: Ro Rahi Hai.
Bint-e-Nabi Ka Noha Sun Lo Shah-e-Madina.

Poet: :Danish Ali Ammar:
Noha Khuwaan: :Hammad Ali Nagri:
Noha Volume: :Hammad Ali Nagri 2026-27:
Composition: :Ali Mohammad Sultanpuri:

#ZakhmiHaiBibiZehra
#NohayLyrics
#tajpoint

New Noha 2026 Lyrics Zakhmi Hai Bibi Zehra Hammad Nagri

Zakhmi Hai Bibi Zehra Hammad Nagri Lyrics Urdu

Zakhmi Hai Bibi Zehra Hammad Nagri Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image

Zakhmi Hai Bibi Zehra Hammad Nagri Lyrics In Urdu 2026

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!