Fatima Bachaye Gi Mir Sajjad Mir Lyrics In Urdu 2026
Mehnatein Rasolon Ki Fatima Bachaye Gi.
Izzat-e-Khuda Sab Ki Izatein Barhaye Gi.
Pehle Mustafa Chal Kar Aasmaan Pe Jaein Gay.
Roh-e-Fatima Zahra Tab Zameen Pe Aaye Gi.
Ik Nabi Ko Haider Ne Aag Se Bachaya Tha.
Ik Ali Ko Sholon Se Fatima Bachaye Gi.
Fizza Boli Rakh Jao Loh Our Qalam Jibreel.
Theek Kar Ke Likh Doon Gi Zahra Jo Bataye Gi.
Ya Ali Tere Zimmay Rizq Sari Dunya Ka.
Haan Magar Tumhein Roti Fatima Khilaye Gi.
Thori Dair Ko Chakki Tum Sanbhal Lau Jibreel.
Kurta Apne Ghazi Ka Fatima Banaye Gi.
Hukam Ho Ga Nabiyon Ko Dhondo Matami Sare.
Fatima Beghair Unn Ke Khuld Mein Na Jaye Gi.
Shah Bolay Asghar Se Iss Ka Dil Hai Chota Sa.
Itna Mat Hanso Asghar Foaj Mar Hi Jaye Gi.
Sheikh Jee Ke Honton Par Al-Ajal Hai Khaybar Mein.
Gar Ali Nahi Aaye Inn Ki Maut Aaye Gi.
Likh Diya Hai Yeh :SAJJAD: Ishq Ke Tabeebon Ne.
Jitna Khoon Bahao Gay Utni Jan Aaye Gi.
Poet: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Khowan: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Volume: :Mir Sajjad Mir 2026-27:
#FatimaBachayeGi
#ManqabatLyrics
#tajpoint
New Manqabat Fatima Bachaye Gi Mir Sajjad Mir Lyrics In Urdu 2026
Fatima Bachaye Gi Mir Sajjad Mir Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
