Ibteda Fatima Ki Saleem Mastan Lyrics In Urdu 2026
Hai Rab Ka Hijab Ibtida Fatima Ki.
Miley Gi Nahi Inteha Fatima Ki.
Ali Hain Yadullah Tu Tum Yeh Mano.
Chalata Hai Chakki Khuda, Fatima Ki.
Fazail Sunati Hain Kulsoom-o-Zainab.
Sana Karti Hai Fatima, Fatima Ki.
Chuna Hai Kaneezi Mein Zahra Ne Oss Ko.
Tu Fizza Bhi Hain Mustafa, Fatima Ki.
Aqeeda Najis Oss Ka Hota Nahi Hai.
Jo Parh Le Hadees-e-Kisa Fatima Ki.
Bandha Hai Jo Romal Mathay Pe Hur Ke.
Batata Hai Kiya Hai Riza Fatima Ki.
Teri Bad Dua Kab Lagay Gi Aye Mufti.
Keh Hum Matami Hain Dua Fatima Ki.
Woh Salman Hai Chand Soraj Pe Hakim.
Jo Karta Hai Tasbeeh Ya Fatima Ki.
Fidak Ka Hai Tukra, Yeh Jageer-e-Akbar.
Youn Samjho Keh Hai Karbala, Fatima Ki.
Bulandi Ki Rahein Main Tey Kar Raha Hoon.
Musalsal Hai Mujh Par Atta Fatima Ki.
Yeh :AHSAAN: Farsh-e-Azza Ka Hai Hum Par.
Hai Mamnon Sheh Ki Azza Fatima Ki.
Poet: :Ahsaan Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Saleem Mastan:
Manqabat Volum: :Saleem Mastan 2026-27:
Composition: :Saleem Mehrabpuri:
Composition: :Zamin Karbalai:
#IbtedaFatimaKi
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Ibteda Fatima Ki Saleem Mastan Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
